Anjuman E Sakina



HAAE QAASIM, HAAE HAAE QAASIM
MAULA KI SADAA GUNJI AI MERE JAWAAN QAASIM
MILTA HI NAHIN TERE LAASHE KA NISHAN QAASIM

KAMSIN HAI MAGAR SHERON JAISAA HAI JIGAR IS KAA
SARDAARE JAWAANAA-NE JANNAT HAI PADAR IS KAA
KAISE HON BHALAA TERE AUSAAF BAYAAN QAASIM

SINE SE LAGAATE HAIN ROTE HUWE KEHTE HAIN
AI LAAL MERE QAASIM RUKHSAT TUMHE KARTE HAIN
DHUNDHUNGA BHALAA TUMKO AB JAAKE KAHAAN QAASIM

RUKHSAT HUWE MAADAR SE BEHNON SE DUAAEN LI
ISS CHAAND SE CHEHRE KI ZAINAB NE BALAAEN LI
HOJAAOGE NAZRON SE AB TUM BHI NIHAAN QAASIM

MAIDAAN ME AATE HI AADAA KO PUKAARAA HAI
MAI LAAL HASSAN KA HUN HAIDAR MERA DAADAA HAI
ABBAASE JARI KI HUN MAI RUH-E- RAWAAN QAASIM

CHHALNI HUWAA TEERON SE MAASOOM SAA SHEHZAADAA
PURAA KIYA QAASIM NE BAABAA SE KIYA WAADAA
AATE HAIN WAHAAN MAULAA GIRTE HAIN JAHAAN QAASIM

BIKHDE HUWAA KUCHH TUKDE MAIDAAN SE UTHAATE HAIN
YUN LAASHA-E QAASIM KI GHATHRI SI BANAATE HAIN
SHE PAAYEGI GHAM TERAA KAISE TERI MAA QAASIM