Anjuman E Sakina



AAGAYAA MAAHE MUHARRAM BICHHGAYAA FARSHE AZAA
ARSH SE AANSU BAHAANE AAGAYI HAI FAATEMAA

ZEBE TAN EHLE AZAA NE KARLIYE KAALE LIBAAS
HAATH HAIN SINON PE AANSU AANKH ME CHEHREN UDAAS
HAI JULOOSE GHAM KAHIN PAR AUR KAHIN MAJLIS BAPAA

NASB KARTI HAIN AZAAKHAANE KANIZAANE BATOOL
HAATH ME PATKAA ALAM KAA LAB PE NAUHAA DIL MALOOL
ALQAMAA AANKHON SE JAARI LAB PE HAAE KARBALA

DEKH KAR MAAHE AZAA KO MAA NE BACCHON SE KAHAA
AAWO MAI TUMKO BATAAWUN KYAA HAI TEHZIBE AZAA
BAA WUDHOO HOKAR HI PARHNAA SOZ NAUHAA MARSIYAA

YE AZAADAARI CHALI HAI SAYYADE SAJJAAD SE
ZAAKIRI KI IBTIDAA HAI ZAINABE NAASHAAD SE
PAIRAWI SAJJAAD KI HAI BEDIYAAN SHAANE AZAA

BAN KE SAQQAA- E SAKINAA TIFL AUR PEER- O JAWAAN
SAYYADON KE GHAR PE JAAKE PURSAA DETE HAIN WAHAAN
YE WOHI DIN HAI KE JISME AAP KAA GHAR LUTGAYAA

TAAZIYE JULE SABEELEN NISBATE SHABBIR HAI
YAAD ME EK BEWATAN KE HALQA- E ZANJEER HAI
APNE HI KHUN ME NAHAA KE KEHTE HAIN KHUNI KABAA

AAJ HAR DIL ME BASAA HAI TERAA HI GHAM YAA HUSAIN
GHAIR MUSLIM BHI MANAATE HAIN MUHARRAM YAA HUSAIN
EK TERE GHAM NE HI MAULAA SABKO YAKJAA KARDIYAA