Anjuman E Sakina



YA FATEMA
UMME ABI HA
BINT-E-PAYAMBAR
KHAYRUN-NISAA

YA ZEHRA
YA ZEHRA
TU HAI SIDDIQA
TU TAHIRA AUR
TUHI SHAFI-E-RAWZE JAZAA
AYE MERI BIBI
WAQT-E-MADAD HAI
HAR MATAMI KE DIL KE SADAA HAI

BIBI ZEHRA YE DUA HAI
AAP KE DARBAR MEI

DAST-E-DUA KO JAB BHI UTHAAYA MANGA HAI TERI CHADAR KA SAYA
YA ZEHRA YA ZEHRA
WAQT-E-MUSIBAT MEI HAR HUSSAINI BAS NAAM TERA HONTO PE LAAYA
AY MERI BIBI TANG DASHT HU MEI YE KEHKE DAMAN PHEYLAADIYA HAI

WO BIBI JISKI HAI GAUD KHALI CHAWKHAT PE TERI HAI WO SAWAALI
YA ZEHRA YA ZEHRA
MUJHKO BHI DEDE ASGHAR KA SADQA MENE TERE DAR SE LO LAGALI
AY MERI BIBI JIN GODIYO MEI AWLAAD HAI WO TERI ATA HAI

JO MAAYE BEHNE BE AASRAA HO FARSH-E-AZA PAR MEHWE BUKAA HO
YA ZEHRA YA ZEHRA
TU UNKE PARDO KI LAAJ RAKHIYO JO TERI ZAINAB KI ZAKIRA HO
AY MERI BIBI ZINDA RAHE WOH BHAAYI JO BEHNO KA AASRAA HAI

JO TIFL ROKAR PARTE HAI NAWHA HAR AATHWI KO BANTE HAI SAQQA
YA ZEHRA YA ZEHRA
HAR ROSHNI KI HAI YE ZAMAANAT YEH HAI CHARAAGH-E-BAZM-E-AZA
AY MERI BIBI BUJHNE NA PAAYE AUN-O-MUHAMMAD KA WAASTAA HAI

JO APNE BETO KA BHOOL KAR GHAM KARTI HO TERE AKBAR KA MATAM
YA ZEHRA YA ZEHRA
UN MAAO KO TU DE SABR BIBI YA PHIR NA DEKHE AWLAAD KA GHAM
AY MERI BIBI US MAA KO KOI GHAM NAA HO JISKO YE GHAM MILA HAI

HAI YAAD ABTAK PURDARD-E-MANZAR PYAASE KE GARDAN ZALIM KA KHANJAR
YA ZEHRA YA ZEHRA
HUM TERE PYAASE BETE KE SADQE YUN MANGTE HAI FARSH-E-AZA PAR
AY MERI BIBI AABAAD RAKHNAA JO GHAR KE JISME FARSH-E-AZA HAI

SHABBIR KI WO MAZLOOM DUKHTAR ZINDAAN SE JO NA JAA SAKI GHAR
YA ZEHRA YA ZEHRA
SADQE MEI USKE HAM PAR KARAM KAR BEJURM-E-QAYDI KEHTE HAI ROKAR
AY MERI BIBI AB YE ASEERI HO KHATM ABID KA WASTA HAI

"IRFAN-O-MAZHAR" YE CHAAHATE HAI MILJAAYE HAMKO BAS YE SA'ADAAT
YA ZEHRA YA ZEHRA
JO AKHRI HAI HUJJAT KHUDAA KI HOJAAYE HAMKO USKI ZIYARAAT
AY MERI BIBI YE BAAT WO HAI JO HAR HUSSAINI KI ILTEJAA HAI