Anjuman E Sakina



MUNTAZIR HAIn AAP KE GHULAAM - AL AJAL IMAAM
HOn NA JAAYE ZINDAGI KI SHAAM - AL AJAL IMAAM

HAR ATRAF FIZAA-E ZULM AAM HOGAYI
ZINDAGI BHI MOVT KAA PAYAAM HOGAYI
MASJIDEn sULAG UTHHI TAMAAM - AL AJAL IMAAM

SUN RAHE HAIn ISS SADIn MEn AAP AAYENGE
TEGH AUR ALAM BHI SAATH SAATH LAAYENGE
KARBALAA KAA LENGE INTEGAAM - AL AJAL IMAAM

KHAANA-E KHUDAA BHI MUNTAZIR HAI AAP KAA
RAAH DEKHTEn HAI QUDS AUR KARBALAA
SAAMARRAA SE KIJIYE KHIRAAM - AL AJAL IMAAM

BE-GHAROn KO NE'MATE MAKAAN HO ATAA
HAR MARIZ-E LAA DAWAA KO DIJIYE SHIFAA
HAL HOn SABKI MUSHKILEn TAMAAM - AL AJAL IMAAM

MIMBAR-E HUSAYN SE KHITAAB KIJIYE
MUNKIR-E AZAA KAA EHTESAAB KIJIYE
KEH RAHE HAIn MAATAMI TAMAAM - AL AJAL IMAAM

WOH BHI KEH RAHEn HAI HAM MUHIB HAI AAPKE
ZIKRE SHAAHE JINKE KAAROBAAR BAN GAYE
MAJLISOn KE LE RAHE HAI DAAM - AL AJAL IMAAM

KAR RAHEn HAIn MIR AUR REHAAN YE DUAA
KHULD KI TARHAA BANE MAZAARE SAYYADAA
AAP HI KAREn YE EHTEMAAM - AL AJAL IMAAM
(AAKE KHUD KAREn YE EHTEMAAM - AL AJAL IMAAM)