Anjuman E Sakina



AI YAADGAARE HAIDARE QARRAAR AS SALAAM
AI LASHKARE HUSSAIN KE SARDAAR AS SALAAM

AI SHERE KIBRIYAAKE PISAR AAP PAR SALAAM
MAWLAA ALI KE NURE NAZAR AAP PAR SALAAM
UMMUL BANIN KE LAKHTE JIGAR AAP PAR SALAAM
FARZANDE FATEMA KE SIPAR AAP PAR SALAAM
TANG AAGAYAA HUN RANJO ALAMKE WAFURSE
MAWLAA KUCHH AAJ ARZ KARUNGAA HUZURSE

SUNTAA HUN GAR HUSSAIN KAA LETAA HAI KOI NAAM
KEHTE HAI AAP BADHKE KE AI AASHIQE IMAAM
KYAA BAAT HAI BATAA TUJHE AAQAASE KYAA HAI KAAM
AI BHAAI SAAF KEH YEH NAHIN SHARM KAA MAQAAM
MUSHKIL KOI PADE TO PUKAADO ABBAAS KO
ZEHMAT NA DE HUSSAIN ALAYHIS SALAAM KO

MAWLAA USSI HUSSAIN KI GHURBAT KAA WAASTAA
WOH SHEH SAWAARE DOSHE RISAALAT KAA WAASTAA
ASHAABE JAAN NISAAR KI NUSRAT KAA WAASTAA
HAZRAT KE AQRUBAA KI SHAHAADAT KAA WAASTAA
AAWAAZE ISTIGHAASA E MAZLUM KI QASAM
SHABBIR KE KATE HUWE HALQUM KI QASAM

HAM SHAKLO HAM SHABIHE PAYAMBAR KAA WAASTAA
MAASUM BEZUBAAN ALI ASGHAR KAA WAASTAA
ZAINAB KE LAAL AUR QAASIME SHABBAR KAA WAASTAA
FARZANDE FAATEMAA KE BHARE GHAR KAA WAASTAA
GHURBAT KI TANGDASTI KI BAS INTEHAA HUWI
KEHDIJIE KE JAA TERI HAAJAT RAWAA HUWI

YEH ZINDAGI RAHE NA RAHE ISS KAA KYAA PATAA
HASRAT YEH HAI KE DEKHLUN EK BAAR MAI ZARAA
QAAEM HAI JO SUTUN HIDAAYAT KE JAA BAJAA
BATHAA WA KAAZMAIN KHURAASAANO SAAMARA
POHNCHU NAJAFKO SHUKR KAA SAJDAA ADAA KARUN
AUR USKE BAAD KOOCH SUE KARBALAA KARUN

DIL JANNATUL BAQI KE LIYE BHI HAI BEQARAAR
SOTI HAI JISME DUKHTARE MEHBUBE KIRDIGAAR
KI MILKE SAARI QOVM NE KOSHISH HAZAAR BAAR
TAAMIR HOSAKAA NA MAGAR AAJ TAK MAZAAR
AGHYAAR SADDE RAAH HAI MAWLAA DUHAAI HAI
AI AINE MURTAZAA DAME MUSHKIL KUSHAAI HAI

WAAQIF HAI KHUD HUZUR KE KYAA CHAAHTAA HUN MAI
DUKH DARD KI MARAZKI DAWAA CHAAHTAA HUN MAI
BIMAAR HUN HUZUR SHAFAA CHAAHTAA HUN MAI
PYAASAA HUN AUR AABE BAQAA CHAAHTAA HUN MAI
MAI AAL KAA FIDAAI HU SAQQAAE AAL AAP
MAI KAWSARI HUN SAAQIE KAWSAR KE LAAL AAP