Anjuman E Sakina



YE CHAAND HAMEN KAISAA GARDUN PE NAZAR AAYAA
JISNE GHAME ZEHRAA ME KHUN AANKHON KO RULWAAYAI

SUGHRAA KI NIGAAHON ME RUKHSAT KE WO LAMHE HAIN
GHAR WAALON KI FURQAT NE BIMAAR KO TADPAAYAA

PHIR KAALE LIBAASON ME SAB LOG NAZAR AAYE
PHIR MAATAMI HALQON ME HAR GHAR SE ALAM AAYAA

JO ZAKHM BHARE DIL KE PHIR TAAZAA HUWE SAARE
NAUHAA ALI AKBAR KAA IN HONTON NE DOHRAAYAA

EK CHHOTAA SAA MASHKIZAA MASRUFE BUKAA DEKHAA
JAB SAAMNE AANKHON KE GHAAZI KAA ALAM AAYAA

EK NANNHE SE JULE PAR POHNCHI JO NAZAR MERI
DIL TUKDE HUWAA MERAA KHUN AANKHON SE BARSAAYAA

JAB HAAYE HUSAINAA KI HAR SAMT SADAA GUNJI
MAATAM KI SADAAON SE PHIR CHARKH BHI THARRAAYAA

AKHTAR YE QAYAAMAT THI AWLAADE PAYAMBAR PAR
GHAR SHEH KAA UJAD NE KI AASHUR KHABAR LAAYAA