Anjuman E Sakina



SHAAM JAANE KE LIYE AB QAAFELAA TAYYAR HAI
HAR TARAF SHORE BUKAA, ZANJEER KI JANKAAR HAI

BE WATAN KUCHH QAIDIYON KAA JAA RAHAA HAI KAARWAA
SAYYADE SAJJAAD KI AANKHON SE AANSU HAI RAWAAN
AABLE HANI PAAUN ME AUR RAASTAA PURKHWAAR HAI

DIL PE KYAA GUZRI QAYAAAMAT PUCHHIYE SAJJAAD SE
KYAA UTHAAYI HAI MUSIBAT PUCHHIYE SAJJAAD SE
BIBYON KAA SHAAM JAANAA KIS QADAR DUSHWAAR HAI

BERIDAA IN QAIDIYON KO GHAM UTHAANAA HAI ABHI
TAAZIYAANE PUSHT PAR ZAINAB KO KHAANAA HAI ABHI
BAJRAHE HAIN SHAADIYAANE NARGHA-E-KUFFAAR HAI

UNT HAIN SAB BE KAJAAWAA BIBIYAAN HAIN BE RIDAA
DEKH KAR IN QAIDIYON KO RORAHI HAI KARBALAA
IN ASIRON KAA SAHAARAA AABIDE BIMAAR HAI

KOUN ZAINAB KO KARAAYE AAJ MEHMIL ME SAWAAR
HAAE AABID SONCHTE HAIN SAR JUKAAE ASHQ BAAR
HAR SITAM SEHNE KO AB YE QAAFELAA SAALAAR HAI

NAAZ SE WO JO PALI THI AB WO BACHI QAID HAI
JISKE GAUHAR CHHIN CHUKE HAIN AB WO BACHI QAID HAI
JISKE LAB SUKHE HUWE HAIN AUR DAAMAN KHAAR HAI

PUCHHTI HAI YE SAKINAA ROKE SAB SE BAARAHAA
PAUN ME CHHAALE HAIN AB MAI THAK GAYI HUN BAAKHUDAA
KARBALAA SE DUR KITNAA SHAAM KA BAAZAAR HAI

YE AZAADAARI MUHIB MAZLOOM KAA EJAAZ HAI
QAAEM-E-ALE MUHAMMAD KI YEHI AAWAAZ HAI
SAYYADE SAJJAAD JAISAA KOUN PURSAADAAR HAI