Anjuman E Sakina



HAQQAANIYAT KI RAAH DIKHAATI HAI KARBALAA
SOYE HUWE ZAMEER JAGAATI HAI KARBALAA
CHALNAA RAHE WAFAA PE SIKHAATI HAI KARBALAA
INSAAN AADMI KO BANAATI HAI KARBALAA
HAI KARBALAA SHIYAAR TO ZINDAA HAI AADMI
MISLE YAZEED WARNAA DARINDAA HAI AADMI

KARBALAA ZINDAA HAI KARBALAA ZINDAA HAI
CHOUDAA SADIYON SE YE MOJIZAA ZINDAA HAI

AAJ BHI HUR SAAZI DEHR ME JAARI HAI
ZULM KE CHEHRE PAR KHOUF YUN TAARI HAI
HURRIYAT KAA AB BHI SILSILAA ZINDAA HAI

ZEHNE INSAAN JIS NE KARDIYE TAABINDAA
JISKE GUL HOTE HI NOOR HAQ KAA PHAILAA
SHAAH KE KHAIME KAA WOH DIYAA ZINDAA HAI

LEHJA-E-SARWAR ME ZINDAGI GOLI THI
ASRE AASHURAA JO DASHT ME GUNJI THI
AAJ BHI HALMIN KI WOH SADAA ZINDAA HAI

SUBH-E-AASHURAA SE EK AZAAN JAARI HAI
KAT GAYAA SAR SHEH KAA PAR BAYAAN JAARI HAI
JAAN DEKAR BHI HAR BAAWAFAA ZINDAA HAI

HAQ IDHAR US JAANIB PAIRAWE BAATIL THE
IS TARAF THE MAQTOOL US TARAF QAATIL THE
HAQ PARASTI KAA YE FAISLAA ZINDAA HAI

AMBIYAA KEHTE HAIN MARHABAA YAA ZAINAB
MEHNATON KAA TERI FAISLAA YAA ZAINAB
DEHR ME SARWAR KI JO AZAA ZINDAA HAI

JI-TE-JI PAI-HAM KO DHUP ME REHTI THI
YAADE ASGHAR ME JO MUSTAQIL ROTI THI
AB BHI US MAADAR KI MAAMTAA ZINDAA HAI

QAID ME KUNBE KI YAAD JAB AATI THI
HAAE BAABAA KEHKAR BACHCHI CHILLAATI THI
AAJ BHI ZINDAAN ME WOH BUKAA ZINDAA HAI