Anjuman E Sakina



AUN-O MUHAMMAD AUN-O MUHAMMAD

MAA SE KIYE WAADE KO KHUB NIBHAAYAA
MUD KE KISI EK NE DARIYAA KO NA DEKHAA
PYAASE HI LADE PYAASE HI DARIYAA SE SIDHAARE

BETON KO TALQEEN YEHI KARTI THI ZAINAB
ZAKHM AGAR KHAAKE MAIDAAN ME GIRO JAB
MAI HUNGI KHAFAA TUMSE JO MAAMU KO PUKAARE

POHNCHO JO DARIYAA PE YE ZEHN ME RAKHNAA
SAATH ME SAB BACHCHON KE PYAASI HAI SAKINAA
UTRE NA QADAM DARIYAA KE PAANI ME TUMHAARE

JANG ME HAIDAR KI WO SHAAN DIKHAANAA
JAAFAR-E TAYYAAR KE POTE HO BATAANAA
MAI KHAIME SE DEKHUNGI WO JURRAT KE NAZAARE

HAIF SAD HAIF QAZAA KARGAYE DONO
MAA SE KIYAA WAADAA WAFAA KARGAYE DONO
MAAMU PE FIDAA HOGAYE ZAINAB KE DULAARE

JAL CHUKE SAB KHAIME AAFAT YE PADI HAI
BALWE ME DEKHO MAA SAR NANGE KHADI HAI
AB KOI NAHIN JO MUJHE MAA KEHKE PUKAARE

AUN-O MUHAMMAD KAA AISAA LIKHUN NAUHAA
RONE LAGE AABID MAJLIS ME HO GIRYAA
ZAINAB KE DULAARE HAIN YE ZAINAB KE DULAARE