Anjuman E Sakina



AI MERE BAAAA, O MUJHE BAABAA SAATAH LEJAAWO
TANHAA MARJAAUNGI
TERE DARD-E JUDAI KO MAI SEH NAHIN PAAUNGI

AKBAR KE BINAA BAABAA MERAA JINAA MUSHKIL HAI
BHAAI KE BINAA BAABAA MERAA LAGTAA NAHIN DIL HAI
WIRAAN HAWELI ME TANHAA GHABRAAUNGI

ISS BAAT NE HAI BAABAA SUGHRAA KO TADPAAYAA
KYUN QAAFELE WAALON ME MERAA NAAM NA LIKHWAAYAA
DIN RAAT ISI GHAM ME MAI ASHQ BAHAAUNGI

MUJHE APNE LIYE KOI BAABAA NA AMAARI DO
PAIDAL HI LIYE JAAO IS DARD KE MAARI KO
KAMSIN ALI ASGHAR KE MAI NAAZ UTHAAUNGI

JAB SE HAI SUNAA MAINE AKBAR PE SAFAR AAYAA
RUKTI HAI MERI SAANSE DIL MERAA HAI GHABRAAYAA
FURQAT ALI AKBAR KI HARGIZ NA BHULAAUNGI

HAM SHAKLE PAYAMBAR KO MAI DEKH KE JITI HUN
BHAAI KI KARUN SHAADI YE SONCHTI REHTI HUN
SEHRAA ALI AKBAR KE SAR PE MAI SAJAAUNGI

RAAZI BA RAZAA HOKE RUKHSAT JO HUWAA KUNBAA
THAA HASHR BAPAA AASHIQ YE BAYN THAA SUGHRAA KA
PARDES ME KYAA TUMKO MAI YAAD NA AAWUNGI