Anjuman E Sakina



HAAYE QAASIM IBNE HASAN
KARBAL KI GARAM RETI PE HAI TUKDE TERAA BADAN
HAAYE QAASIM IBNE HASAN

MAA RO RO KE KEHTI HAI IS DIN KE LIYE PAALAA THAA
MERI LAAJ RAKHI HAI TU NE DUKHIYAA KAA YEHI NAALAA THAA
SEHRE KI JAGAA HAATHON ME MAADAR KI HAI KAFAN

PARDES ME AAKAR UJDE HAI KHWAAB SABHI FARWAA KE
KARTE HUWE GIRYAA RO RO SHABBIR CHALE KHAIME SE
UJDAA HAI MERE BHAAI KAA BASTAA HUWAA CHAMAN

ARMAAN THE DO FARWAA KE WO JALKE KHAAK HUWE
SHAADI KE KHWAAB JO DEKHE WO SAB HI KHAAK HUWE
EK ROZ ME HI UJDAA HAI FARWAA KAA YE GULSHAN

POHNCHE JAB LAASH PE MAULAA RO RO KE BUKAA YE KARTE
JAB LAASH KI DEKHI HAALAT SHABBIR BOHOT HAI TADPE
BOLE IMDAAD KO AAWO BHAAI MERE HASAN

DAUDAAE GAYE HAIN GODE QAASIM TERE LAASHE PE
MAQTAL ME TERE TUKDE SHAAH DHUNDH RAHE JAA KE
GATHRI ME JAMAA KARTE HAIN NAAZUK TERAA BADAN