Anjuman E Sakina



ZAINAB KE DULAARE AUN-O-MUHAMMAD
AUN-O-MUHAMMAD MERE AUN-O-MUHAMMAD

BOLI ZAINAB YE MERAA MAAN BARHAANAA BACHO
SURKHURU JANG KE MAIDAAN SE AANAA BACHO
MOUT KO ZIST KAA UNWAAN BANAANAA BACHO
PYAASE SHE ROZ KE HO KHUn ME NAHAANAA BACHO

AAJ KE DINKE LIYE MAI NE TUMHE PAALAA THAA
IBNE MAGHMUMUE KAUNAINHAI MUSHKIL ME GIRAA
AARZU AUN-O-MUHAMMAD HAI TUMHAARI MAA KI
DONO HOJAAO MERE BHAI KE AKBAR PE FIDAA

ZAKHM MAIDAAN ME TUM KHAAO TO KHUSH HO MAADAR
SHAANAJDAAD KE KIKHAAO TO KHUSH HO MAADAR
SUE DARIYAA NA UTHAAKAR KABHI NAZREn DEKHO
PYAASE DUNIYAA SE GUZAR JAAO TO KHUSH HO MAADAR

DAM KARUn NAADE ALI SAR KO JUKAALO BACHOn
SAARE ARMAAN LADAAI KE NIKAALO BACHO
HAAYE SEHRAA NA SAJAA SAR [E TUMHAARE LAIKIN
MOUT KO AAJ DULHAN APNI BANAALO BACHO

HUBB ZAINAB KAA BAJAALAAYE DULAARE BACHE
MOUT TO HAAR GAYI RAN ME NA HAARE BACHE
DEKH KAR LAASHE PUKAARE YE ALI KI BETI
SURKHURU MAIHUWI DUNIYAA SE SIDHAARE BACHE

JAAFRI ROYI KAIHAAN BACHOn KO BINTE ZEHRAA
HAA MAGAR LOUT KE JAB GHAR ME WO AAYI DUKHIYAA
KHAALI HUJRE JO NAZAR AAYE TO PHIR ZABT HUWAA
HAATH PHAILAAE HUWE ROKE YE ZAINAB NE KAHAA