Anjuman E Sakina



SAR DEKH KE BHAAI KAA DETI HAI SADAA ZAINAB
LO JALD KHABAR BHAIYYAA AB HAI BE RIDAA ZAINB

JAB GHAR SE CHALE THE HAM HAI YAAD TUMHE BHAIYYAA
TUMNE HI AMAARI ME KIS TARHA BITHAAYAA THAA
AB HAATH RASAN ME HAIN AUR MEHWE BUKAA ZAINAB

GODI ME MERI BHAIYYAA YE BACHHI JO BAITHI HAI
MAZLOOM SAKINAA HAI YE AAP KI BETI HAI
IS KE LIYE DETI HAI GHAAZI KO SADAA ZAINAB

DEKHO TO ZARAA BHAIYYAA YE HAAL MERAA DEKHO
DEKHO TO SAKINAA KAA RASSI ME GALAA DEKHO
TUMHI MUJHE BATLAADO BHAIYYAA KARE KYAA ZAINAB

NAA AUNO MUHAMMAD HAI NAA QAASIM-O-AKBAR HAI
SOYE HUWE DARIYAA PAR ABBAASE DILAAWAR HAI
IMDAAD KO BULWAAYE AB KISKO BHALAA ZAINAB

WO JALTAA HUWAA KHAIMAA WO LUT-TI HUWI CHAADAR
JAB CHHIN-TE THE ZAALIM SAJJAAD KAA WO BISTAR
SAB EHLE HARAM BOLE SAR PIT-KE YAA ZAINAB

BAAZAAR WO KUFE KAA AUR SHAAM KI WO GALIYAAN
SAR BHAAI KAA NEZE PAR KHWAAHAR KAA THAA SAR URYAAN
HAR GAAM PE SEHTI THI EK ZULM NAYAA ZAINAB

SHABBIR NE AKBAR KAA JAB LAASHAA UTHAAYAA THAA
YE KEHKE SUE MAQTAL KHWAAHAR KO BULAAYAA THAA
BHAAI KO SAHAARAA DO DEKHO MAI GIRAA ZAINAB

NAANAA SE KIYAA THAA JO WO WAADAA NIBHAANE ME
ISLAAM KI KASHTI KO TUFAAN SE BACHAANE ME
BAS DO HI TO BANDEN HAIN SHABBIR HAI YAA ZAINAB

YE AAJ JO MAJLIS HAI YE AAJ JO MAATAAM HAI
AUR KARBOBALAA KAA YE HAR DIL ME JO AB HUB HAI
HAI TERI SABAB MAJLIS HAR GHAR ME BAPAA ZAINAB

AI MAAJID ISI GHAM SE DUNIYAA KO JAGAANAA HAI
AAWO AI HUSAIN AAWO YE SAB KO BATAANAA HAI
DEGI GHAME SARWAR KI HAM SAB KO JAZAA ZAINAB