Anjuman E Sakina



SAAMNE DARBAAR KE GHAIRATE SAJJAAD KAA HAI YE KAISAA IMTEHAA
TEEN DIN GUZRE KHADI HAI FAATEMAA KI BETIYAAN

SHAAM WAALE HANS RAHE HAI BEKASON KO DEKH KAR
HAI CHARAAGHAAN CHAARSU AUR SAJ RAHE HAI BAAM-O DAR
BAABE SAA-AT PAR RUKAA HAI BEKASON KAA KAARWAAN

KHUN ROTAA HAI JO AABID USKO YEH EHSAAS HAI
FAATEMAA ZEHRAA KI CHAADAR SHAAMIYON KE PAAS HAI
DEKH KAR KEHTI HAI ZAINAB MERE GHAAZI HON KAHAAN

SAR ALI AKBAR KAA NEZE PAR UTHAATEN HAI SHAQI
SUN CHUKI SATRAA AZAANEN BERIDAA BINTE ALI
RO RAHI HAI HAR AZAAN SUNKAR ALI AKBER KI MAAN

MISLE ZEHRAA SAR JUKAAYE SHAAMIYON MEN AAGAYI
CHAAR BARSON MEN SAKINAA PAR ZAEEFI CHHAA GAYI
KAAN BHI ZAKHMI HAI GAALON PAR TAMAACHON KE NISHAAN

KHUN KE AANSU TAPAK TE HAI SARE SHABBIR SE
PUCHHTI HAI JAB SAKINAA ZAINABE DILGIR SE
AB PHUPHI AMMAAN YAHAAN SE KAB CHALEGAA KAARWAAN

SABSE MUSHKIL MARHALAA SAJJAAD PE YAAWAR YEH THAA
SHAAM KE DARBAAR MEN JAB QAAFELAA JAANE LAGAAA
PADH TI THI NAADE ALI US WAQT SAARI BIBIYAN