Anjuman E Sakina



YE TERI ZAINAB LAUT KE AAYI
KHUN BHARA KURTA BHAYI KA LAAYI
KIS TARHA NANA ME BATAWUN YE
NA BACHA GHAZI NA BACHA BHAYI

KYA KYA BATAUN ME NAANAA KARBAL ME KAISE LUTA GHAR
RORO KE ZAINAB PUKARI NANA KE ROZE PE JAAKAR

TILE SE MENE YE MANZAR KHUD APNI ANKHON SE DEKHA
TEERON KE JAB DARMIYAN ME BHAYI KA LAASHA PARA THA
GARDAN PE AHISTA ZALIM USS KE CHALATA THA KHANJAR

KADYAL JAWAAN MERA AKBAR DAM TODTA THA ZAMIN PAR
HALQUM PAR TEER KHAKAR KHAMOSH THA NANNA ASGHAR
KARBAL ME MAA FATEMA KA EK PAL ME UJRA BHARA GHAR

MASHKIZA JAB CHID GAYA TAB ABBAS KI AAS TUTTI
BAZU QALAM HOGAYE AUR ZEEN SE GIRA MERA GHAZI
MAQTAL ME LASHA PARA AUR AAYA ALAM KHUN ME TAR

SHAME GHARIBAN KA MANZAR BHULUGI NA MAI KABHI BHI
KHAYME JALE SAB HAMARE SAR SE RIDA CHHIN GAYI THI
HAD HE KE CHHINA GAYA THA BIMAR ABID KA BISTAR

BARA GALE EK RASAN ME BUDHE JAWAN SAB BANDHE THE
BEPARDA THI BINTE ZEHRA BAZAAR SAARE SAJE THE
BAAR BAAR GIRTA ZAMIN PAR NEZE SE ABBASS KA SAR

AMMA KI TARHA BHI MAINE LAAL APNE DONO LUTAAYE
BABA KI TARHA BHI KHANJAR KHUTBON KI MAINE CHALAAYE
BAZAAR ME YUN PHIRI HUN CHADAR KO APNI LUTAAKAR

MANGA SAKINA KO SHAAMI NE JAB KANIZI MEI NANA
SAJAAD GHAYRAT KE MAARE DARBAR ME MARGAYA THA
PARDES MEI KAISI GHURBAT DHHATERAHE THE SITAMGAR

NANA ME NA LAASAKI HUN BHAYYA KI WO EK AMAANAT
WIRAN ZINDAN ME JISKI HAYE HUWI THI SHAHADAT
DAMAN BHI USKA JALA AUR ZALIM NE CHHINE THE GOHAR