HASHER MEIN RANG LAIGA KHUNE SHAHIDA DEKHNA)
AYENGI JAB FATEMA
HAAL-E-PERISHAN DEKHNA
ROO BARU BABA KAY JAB KHATOON JANNAT E AYENGEE
KHALI JOLI SARWAR-E-KONAIN KO DEKHLAI GEE
PHIR YAQEEN THARRAAEGAA
MEHSHAR KA MAIDAN DEKHNA
ASGHARE MASOOM KE LAB PAR SAWAALE AAB HAI
BUND PAANI KE LIYE YEH KIS KADAR BETAAB HAI
NEHR SE PAANI NAHI
DEYTAY MUSALMAN DEKHNA
RAKHDIYA BARCHI NE AKBAR KA KALEJA CHEER KE
RUKH BADAL DALE HAI UMMAT NE TERI TASWEER KE
MALIKE KAWSAR ZARAA
UMMAT KE EHSAN DEKHNA
ZAINAB O KULSOOM SAY KEHTA THA SHIMR E BAAD GOHAR
SHAAM MEIN JAWONGE NANGE SAR PHIRONGI DAR BADAR
KARBALA KE BAAD AB
TARIKH ZINDAA DEKHNA
GHAM BHALAA GULZAAR KYAA IS DIL KO ROZE HASHR KA
JO HAI AWLAADE PAYAMBER KI MUHABBAT SE BHARAA
BAKSHWA DENGE USSE
YASRAB KE SULTAN DEKHNA