Anjuman E Sakina



ALAMDAAR, ALAMDAAR, HAAYE ABBAASE ALAMDAAR
AI MERE BIRAADAR MERE GHAMKHWAAR ALAMDAAR
AI MERE BAHAADUR MERE JARRAAR ALAMDAAR

SHEH BOLE MUJHE CHHOD KE TUM JAATE HO BHAAI
YE MOUT KAA PAIGHAAM HAI BHAAI SE JUDAAI
AFSOS MUJHE KARBOBALAA RAAS NA AAYI
SAB LUTGAYI MAIDAAN ME ZEHRAA KI KAMAAYI
AB KOI NAHIN AALE PAYAMBAR KAA MADADGAAR

DUNIYAA TUMHE KEHTI HAI YADULLLAAH KAA JAANI
RUFTAAR ME GUFTAAR ME AI HAIDAR E SAANI
KIS TARHA IJAAZAT DUN NAHIN TAAB-O-TAWAANI
DIL GHAM SE HAI TUKDE TO KALEJAA HUWAA PAANI
AI MERE AKHI MERE MUHAAFIZ MERE JARRAAR

MASHKIZAA LIYE RU BA RU JAB AAYI SAKINAA
BIJLI WO GIRI DIL PE KE PHATNE LAGAA SINAA
WO PYAAS KI SHIDDAT WO TAPISH GARM MAHINAA
MUSHKIL HUWAA HAR GAAM PE MAASUMON KAA JINAA
IS DASHTE BALAA ME HAI BAPAA HASHR KE AASAAR

AMMAA NAHIN BAABAA NAHIN NAANAA NAHIN SAR PAR
PARDES ME KYAA ZULM HUWAA HAAYE MUQADDAR
HAR GAAM PE BICHHDE MERE EHBAAB-O-BIRAADAR
BAAHON KO MERI THAAM LO HAM SHAKLE PAYAMBAR
TUTI HAI KAMAR AB NAHIN HAI TAAQATE RAFTAAR

KHAAMOSH KHADE DEKH TE THE SARWARE AALAM
JUK KAR GIRAA NAAGAAH ALAMDAAR KAA PARCHAM
SHAANE KATE AUR MASHQ CHHIDI NAZ-A KAA AALAM
HAR SIMT SULAIMAAN HAI ALAMDAAR KAA MAATAM
TUMHI THE SHABO ROZ MERE MUNISO GHAMKHWAAR