Anjuman E Sakina



HUSAIN YAA HUSAIN; HUSAIN YAA HUSAIN
KULLU YAUMIN AASHURAA KULLU ARDHIN KARBALAA

WAARISE ILME NABI YAA HUSAIN IBNE ALI
TERE SADQE SE MILI ZINDAGI HAM KO YEHI

DASHTE KARBAL PE TERAA LAASH TEERON PE PADAA
RORAHI THI YE ZAMEEN AASMAAN ROTAA RAHAA
HAAE MAADAR WO TERI BAIN YEH KARTI RAHI
AI MERE PYARE HUSAIN GOD ME AAWO ZARAA

SARAKHAT FAATIMATA AL HUSAINUN QATALA YARQUDU ALASSIHAM
YAA HABIBI WALADI

TERE ASGHAR KAA GALAA TERE AKBAR KAA JIGAR
BHAAI ABBAAS KE GHAM ME TERI TUTI KAMAR
AUR PAAMAAL BADAN RAN ME QAASIM KAA HUWA
EK DIN ME HI LUTAA KARBALAA ME TERAA GHAR

DHUBIHU KULLU BANEEN TASJUDU ANTA JABEEN TASHKURU
KHALIQAKA YAA ILAAHAL AZALI

RAN ME TALWAAR BINAA AAYE ABBAASE ALI
HAR TARAF HAMLAA HUWA MASHKE PAANI BHI CHHIDI
AANKH ME TEER LAGAA AUR PAIWAST HUWAA
DONO BAAZU KO KATAA KE GIRAA ASB-E JARI

WAHUWA KULLUL WAFAA YASRUKHU BAR WA SAMAA SAQAT
ABBAAS JARI MIN HEESANIN KASABI

HAAE BESHIR TERAA BEZABAAZINDAA HAI QATL HUWAA
PYAAS KE BADLE JISE ZULM KAA TEER MILAA
ALQAMAA ROTI RAHI LARZI KARBAL KI ZAMEEN
TUMNE JAB USKAA LAHU APNE CHEHRE PE MALAA

WABAQAA NAHRUL FURAAT RAAHAT MIN JISMEE HAYAAT INDAA
WASLIS-SAHAMI ALAA HULQUMIZ-ZAKI

ASRE AASHUR KAA WAQT KAISE HAM BHUL SAKE
AAYI AAWAAZE AZAAN AAP GODE SE GIRE
KHAIME KE DAR PE TERI BAHEN KHUN ROTI RAHI
THAA TERA PAAK GALAA SHIMR KE TEGH TALE

AKTUBU KAYFA ANAA RABBUKA YANDHURUKA THUMMA ALLAH
YAQOOL IRJI-EE ILAA RABBUKI

AAG SE KHAIME JALE SAR SE CHAADAR BHI CHHINI
DASHT ME TANHAA SAKINAA TERI ROTI RAHI
TOUQ ME BAANDHAA GAYAA TERE AABID KAA GALAA
TERI MAZLOOM BAHEN BERIDAA SHAAM CHALI

USH-ILAT KULLU KHIYAAM FEEHAA ABNAA-UL IMAAM UDH-HIBUU
AALAN-NABI ILAA QASRIL UMAWI

TERE SAJDE SE BACHAA HAI NAMAAZ AUR QURAAN
AAJ MASJID SE JO AATI HAI AAWAAZE AZAAN
HAM KO KARBAL NE SIKHAAYAA HAI JINE KAA HUNAR
TERI QURBAANI SE BAAQI HAI YE ARZ-O-SAMAA

YA IMAAM AL-ABRAAR ANTA YA ABAL AHRAAR SAABIRUN IBNE
SABOOR YA AMEERAL ABADEE

AAJ GHAR GHAR HAI SAJAA TERE GHAAZI KAA ALAM
UMR BHAR HAM KO RULAATAA RAHEGAA TERAA GHAM
HAR GALI AUR SHEHR TERAA MAATAM HAI BAPAA
KHUN BAHAATE HI RAHENGE TERE NAAM PE HAM

UMRUNAA FEEKA FIDAA AHLUNAA KULLU LAKA NADHKURUKA
SAYYIDEE YAA HUSAIN IBNE ALI

HAI TEJANI KAA QALAM AUR DIL NAUHAA KUNAA
YE MUQADDAR HI TERAA KIS TARHA HOGAA BAYAAN
JALTI RETI PE PADAA TERAA LAASHAA BEKAFAN
AAP KE PAAK BADAN SE HUWAA KHUN RAWAAN

JISMUKA FAUQA TURAAB WADAMUN KULLU THIYAAB IHTARAQ
JISMUKA MIN BARRI WASHAMSI GHALI