Anjuman E Sakina



QAIDKHAANE KO AZAA KHAANAA BANAANE WAALI
CHALBASI SOG BHARE GHAR KAA MANAANE WAALI

HAI NAMI KAISI YE ZINDAAN KI DIWAARON ME
SISKIYAAN KARTI HAI YE SHAAM KE BAAZAARON ME
KYAA ABHI CHUP NA HUWI ASHQ BAHAANE WAALI

ROKE KEHTI THI MANAAWUNGI BHALAA GHAM KAISE
AMMU BATLAAIYE AAKHIR KARUN MAATAM KAISE
HAATH BANDHWAA BHI CHUKI KHAAK URHAANE WAALI

DUR TAK AAJ UJAALAA HI UJAALAA HAI JAHAAN
EK DIN SIRF ANDHERAA HI ANDHERAA THAA WAHAAN
QAID THI AANSUON KI SHAMMA JALAANE WAALI

PYAAS HONTON PE DHUAAN KHUN ME DHUAAN LEKE GAYI
APNE CHEHRE PE TAMAACHON KE NISHAAN LEKE GAYI
AAG JALTE HUWE KURTE KI BUJHAANE WAALI

BANDH GAYI RASSI TO JAANAA KE ASIRI KYAA HAI
SEHLIYAAN KHAAYI TO SAMJHI KE YATEEMI KYAA HAI
HAR GADI PYAAR CHACHAA JAAN KAA PAANE WAALI

KABHI BEHTE HUWE ASHQON SE WUZOO KARTI THI
GHAME SARWAR ME KABHI DIL KO LAHU KARTI THI
APNE BAABAA KE MUSALLE KO BICHHAANE WAALI

JAAKE DIKHLAAEGI SAB ZAKHME JIGAR DAADI KO
ROKE BATLAAEGI RUDAADE SAFAR DAADI KO
BERIDAA SHAAM KE DARBAAR ME JAANE WAALI

JISM PAR KHUN BHARE KURTE KAA KAFAN LE KE GAYI
DIL KE ZAKHMON KI TARHA YAADE WATAN LE KE GAYI
NAUHAA GHURBAT KAA PARINDON KO SUNAANE WAALI