Anjuman E Sakina



BULAA RAHI HAI TUJHE YE MAADAR
AI MERE ASGHAR AI MERE ASGHAR
PALAT KE MAQTAL SE AAJAA AB GHAR
AI MERE ASGHAR AI MERE ASGHAR

MAI TUJHKO JULAA JULAAWUN AAJAA
MAI TUJHKO LORI SUNAAWUN AAJAA
HAI KHAALI JULAA HAI KHAALI BISTAR

DARAAWNAA JANGAL HAI AUR ANDHERAA
AI LAAL TU DAR KE RO NA DENAA
HAI TUN TO KARBOBALAA KAA HAIDAR

SADAA-E HALMIN DI JAB PADAR NE
BATAAYAA JULE SE TU NE GIR KE
MADAD KO TAYYAAR HAI YE ASGHAR

TALAB PE PAANI KI TU NE ASGHAR
ZABAAN APNI PHIRAAYI LAB PAR
YE DEKH KAR ROE SAB SITAMGAR

JO KHUN BAHAA THAA TERE GALE SE
WO KHUN MALAA SHEH NE APNE RUKH PE
GIRAA NAHIN QATRAA TAK ZAMEEN PAR

BANAAYI JAB SHEH NE QABR TERI
FALAQ BHI ROYAA ZAMEEN BHI ROYI
TADAP GAYI ZULFIQAAR-E HAIDAR

YAHAAN HAI TERAA BADAN ZAMEEN PAR
WAHAAN HAI NEZE PE WOH TERAA SAR
MAI KAISE DEKHUN YE KHUNI MANZAR

KAHAAN SUKOON TERE BAAD BHI HAI
RASAN MERE HAATHON ME BANDHI HAI
NAHIN HAI CHAADAR BHI MERE SAR PAR

MAI JAB TALAK BHI JIUNGI BETAA
MAI TERAA MAATAM KARUNGI BETAA
NA SAAYE ME BAITHEGI YE MAADAR

ANEES-O SAADIQ KO ROZE MEHSHAR
TU BAKSHWAANAA PADAR SE KEH KAR
HAI WAASTAA MERAA TUJHKO ASGHAR