Anjuman E Sakina



AI MERE JAWAAN AKBAR AI MERE JAWAAN AKBAR
NAUHAA HAI GHARIBI MEN SHABBIR KE HONTON PAR

MAA KHAIME KE DAR PAR HAI AI LAAL MUJHE DAR HAI
MAQTAL ME NA AAJAAYE SAR KHOLE HUWE MAADAR

BIMAAR BAHEN RASTAA TAKTI HAI TERAA GHAR ME
MARJAAEGI WO DUKHIYAA YE GHAM KI KHABAR SUNKAR

AI LAAL MERE TUJHKO KHAT BHEJAA HAI SUGHRAA NE
QAASID KO KAHUN KYAA MAI ITNAA TO BATAA AAKAR

TU DILBARE HAIDAR HAI HAM SHAKLE PAYAMBAR HAI
AABAAD HAI BAS TUJH SE ZEHRAA KAA YE UJDAA GHAR

MAI THOKARE KHAATAA HUN GIRTAA HUN SAMBHALTAA HUN
AB KOUN SAHAARAA DE NAASIR HAI NA HAI YAAWAR

TAARIK HUWI AANKHEN ANDHER HUWI DUNIYAA
LAASHE PE TERE DILBAR POHNCHUN MAI BHALAA KYUN KAR

JAB TU NE SINAA KHAAYI MAQTAL ME CHALI AANDHI
GHASH KHAAKE GIRI ZAINAB SAR SE BHI DHALI CHAADAR

AI LAAL JO TU BICHHDAA MAI JI NAHIN PAAUNGAA
ZAALIM MUJHE GERENGE CHALJAAEGAA AB KHANJAR

ABBAAS NA QAASIM HAI ANSAAR NA YAAWAR HAI
TANHAA HUN SARE MAQTAL BAAQI HAI BAS EK ASGHAR

AI NUR ALI BARCHHI SHABBIR NE JAB KHENCHI
AI NAASIRE ZAIDI HO KYUN KAR WO BAYAAN MANZAR