Anjuman E Sakina



BOLI ZEHRAA ZAINAB KAA YUn SAATH NIBHAANAA
AGHYAAR KE MAJME ME FIZZA TU RIDAA BAN KE
ZAINAB KO CHHUPAANAA

PEHLI MANZIL TO KARBALAA HAI MAGAR
SAATH ABBAAS BHI WAHAAn HOGAA
DARD KARBOBALA KAA APNI JAGAA
BAS MUJHE SHAAM KAA HAI GHAM FIZZAA
KHUD DEKH CHUKI HUn MAI MUSHKIL HAI BOHOT FIZZAA
DARBAAR ME JAANAA

TASHNAGI HAD SE BARHGAYI HOGI
CHHOTE BACHOn KO WO SAMBHAALEGI
APNE HISSE KAA AAB BHI ZAINAB
CHHOTE BACHOn ME BAAT DAALEGI
KHUD APNE HI HISSE SE KUCHH PAANI BACHAAKAR TUM
ZAINAB KO PILAANAA

MUJH KO MAALUM HAI YATIMI ME
LOG JAB ROUK TE HAIn RONE SE
US GADI DIL PE KYAA GUZARTI HAI
MAI SAMAJHTI HU(N) DUKH SAKINAA KE
DIL KHOL KE BAABAA KE LAASHE PE WO RONE KO
LAASHE SE UTHAANAA

QAAFELAA JAB CHALEGAA SEHRAA SE
KOI MAQTAL ME CHHUT JAAEGI
IS SE PEHLE KE POHNCHE ZAINAB TAK
SHIMR KE HAATH AAYEGI BACHCHI
TAB SHIMR KE HAATHOn SE TUM MERI SAKINAA KE
BAAZU KO CHHURAANAA

SUNKE BINTE NABI KI BAATOn KO
BOLI SAPNE ME FIZZAA ZEHRAA SE
TUMSE BIBI YEHI GUZAARISH HAI
JITNE WAADE KIYE HAI FIZZAA NE
MAI KAISE NIBHAATI HUn TUM SHAAM KI GALIYO(N) ME
TUM DEKH NE AANAA

BOLI ZEHRAA ZAINAB KAA YUn SAATH NIBHAANAA
AGHYAAR KE MAJME ME FIZZAA TU RIDAA BAN KE
ZAINAB KO CHHUPAANAA