Anjuman E Sakina



US WAQT JAB KE ZAINAB DARBAAR ME GAYI THI
QAARI NAMAAZIYON SE MEHFIL SAJI HUWI THI
ZAALIM YE PUCHH-TAA THAA GHAAZI TERAA KAHAAN HAI
BAALON SE MUNH CHHUPAAYE ZAINAB YE KEHRAHI THI

AI MERE BAABAA JAAN HO RAHI HAI AZAAN
SAR CHHUPAAWUN KAHAAN
MAJMA-E AAM ME BEWATAN BE AMAAN
AAGAYAA KAARAWAAN

MAI BHI HUN MARZIYAA BINTE KHAIRUNNISAA
MERE LEHJE ME HAI BAABAA TERI ADAA
NAAM ZAINAB MERAA TU NE JO RAKHDIYAA
DE DI APNI ZUBAAN

BAABAA JAAN MAI RIDAA MAANGTI REHGAYI
BAAM-O DAR SAJ GAYE JITEJI MARGAYI
HALQA-E SHAAM ME NAAM SUNKAR MERAA
MARGAYAA NAATAWAAN

HAATH KAANON PE HAI NEEL GAALON PE HAI
AUR NISHAAN JO SAKINAA KE SHAANON PE HAI
HAR NISHAAN SE YEHI AARAHI HAI SADAA
BAABAA JAAN BAABAA JAAN

BAABAA JAAN YE TERAA AAKHERI THAA BAYAAN
TERI CHAADAR BACHAAYEGAA GHAAZI JAWAAN
MARGAYAA BAABAA JAAN CHHINGAYI HAI RIDAA
KEHTI HAIN BIBIYAAN
ABBAAS ABBAAS ABBAAS

RUK NA PAAYAA MERE BAAWAFAA KAA WO SAR
NOUKE NEZAA SE AANE LAGAA KHAAK PAR
BAHEN KO DARBADAR DEKH KAR NANGE SAR
SEH NA PAAYAA JAWAAN

KAL THI MAA AAJ MAI BHI HUN DARBAAR MEN
MISLE ZEHRAA KHADI HUN MAI AGHIYAAR MEN
US TARAF HAI SHAQI IS TARAF REHGAYIN
BE PADAR BETIYAAN

AISAA KHUTBAA DIYAA MAINE DARBAAR ME
LIKH RAHAA HAI JO YAAWAR TERE PYAAR ME
LEHJAAE HAIDARI HAR AZAAN KE LIYE
HAI SADAAE AZAAN