Anjuman E Sakina



KHUN ROTAA HUWAA JAB QAAFELAA SAALAAR CHALAA
SAATH KUNBE KO LIYE LAAGHAR-O BIMAAR CHALAA

SHIMRE BAD-KAAR SE ROROKE YE AABID NE KAHAA
BAANDH TAA KYUN HAI LAEEN BAALI SAKINAA KAA GALAA
IS SE BEHTAR HAI MERE HALQ PE TALWAAR CHALAA

KOUN KEHTAA HAI YE SAJJAAD CHALE JAATE HAIN
HAR QADAM AABLE PAIRON KE SADAA DETE HAIN
KARBALAA WAALON KA YEH PEHLAA AZAADAAR CHALAA

ZULM PE ZULM AZIYYAT PE AZIYYAT SEH KAR
BEDIYAAN PEHNE HUWE AUR SAMBHAALE LANGAR
BAIYYAT-E ZULM NA KI SURATE INKAAR CHALAA

BE-GHARI NAUHA-GARI DAR-BADARI SINAA ZANI
TASHNAGI DHUP KAA AALAM THAA ZAMEEN TAPTI HUWI
BAARISHE SANG MEN WO JAANIBE DARBAAR CHALAA

BE KAJAAWON KI AMAARI PE SABHI EHLE HARAM
BE RIDAA ZAINAB-O KULSUM SITAM HAAE SITAM
QALB-E SAJJAAD PE YUN KHANJAR-E BE-DHAAR CHALAA

JAB SAKINAA KO KANIZI MEN KISI NE MAANGAA
USKE BIMAAR BADAN MEN HUWAA PAIDAA LARZAA
TEGH KHUTBON KI LIYE JAANIBE KUFFAAR CHALAA

KHUB PURSAA DIYAA RAIHAAN-O MUSAYYAB IS DAM
IS QADAR FARSHE AZAA PAR HUWAA BARPAA MAATAM
PURSON MEN ASHQ SARE FARSH KAYIN BAAR CHALAA