Anjuman E Sakina



SHEH KAA WAFAADAAR ABBAASE ALAMDAAR
GAYAA NEHR PE MAARAA
MUNIS-O GHAMKHWAAR FOUJ KAA SARDAAR
GAYAA NEHR PE MAARAA

SUKHE HUWE KUZE WOH LIYE PHIRTE THE DAR DAR
DEKHAA HI NAHIN JAATAA THAA YE PYAAS KAA MANZAR
JINAA HUWAA DUSHWAAR – ABBAASE NAAMDAAR

SHEH KEHTE THE ALLAAH MUJHE SABR ATAA KAR
ROTE RAHE ABBAAS KE HAATHON KO UTHAA KAR
AB HOGAA NA DEEDAAR – JO THAA MERAA GHAMKHWAAR

IS JAISE ALAMDAAR KAA SAANI NA MILEGAA
ABBAAS NA AAYENGE TO PAANI NA MILEGAA
YE KEHKE AZAADAAR – ROENGE BAAR BAAR

BAS MASHK-O ALAM REH GAYI HAI USKI NISHAANI
BACHCHON KE LIYE LENE GAYAA THAA WAHAAN PAANI
WOH SHER WOH DILDAAR – JISSE THAA HAMKO PYAAR

IN SUKHI ZABAANON SE WOH KUCHH KEH NAHIN SAKTE
BACHCHE BHI ALAMDAAR KAA GHAM SEH NAHIN SAKTE
YEH GARM REGZAAR – PAANI KAA TALABGAAR

MOHSIN YE AJAB TARHA KI DEKHI HAI LADAAYI
QURBAAN HUWAA BETAA TO MAARAA GAYAA BHAAI
KEHTE HAIN SOGWAAR – WOH SAB KAA MADADGAAR