Anjuman E Sakina



ZAINAB KAA KHULAA SAR HAI SUE SHAAM SAFAR HAI
KOI ABBAAS SE KEHDE
ZAKHMON SE BADAN CHUR HAI AUR CHAAK JIGAR HAI
KOI ABBAAS SE KEHDE

AB MUNIS-O GHAMKHWAAR NAHIN KOI BHI MERAA
HAAN QAAFELAA SAALAAR HAI BIMAAR BHATIJAA
DUSHWAAR SAFAR SHAAM KAA AB PESHE NAZAR HAI

HAATHON ME RASAN DIL ME CHUBHAN KHAAK HAI SAR ME
HAR GAAM TUJHE YAAD KARUNGI MAI SAFAR ME
KULSOOM KE LAB PAR YE SADAA MEHWE SAFAR HAI

KIS SHAAN SE NIKLI THI MADINE SE SAWAARI
AUR AAJ YE TAQDEER HAI MEHMIL NA AMAARI
HANSTE HAIN UDOO KEHKE ALAMDAAR KIDHAR HAI

YAA AAKE SITAMGAARON KO RASTE SE HATAADE
YAA APNI WAFAAON KI RIDAA SAR PE URHAADE
BE DEENON KI BASTI SE ABHI MERAA GUZAR HAI

MAAHOL SHARAABI HAI MERI RAAH GUZAR ME
EK TEER KI SURAT HAI YEHI BAAT JIGAR ME
SAJJAAD NA MARJAAE ISI BAAT KAA DAR HAI

SAJJAAD KE PAIRON ME BUKAA KARTI HAI ZANJEER
MAJMAA HAI SITAMGAARON KAA AUR WAARISE TATHEER
WO SHEHRE SITAMGAAR HAI ZULMAT KAA NAGAR HAI

JIN KUFE KI GALIYON ME HUKUMAT THI HAMAARI
BEPARDAA WAHAAN JAAEGI HAMSHIR TUMHAARI
AB KUFE KAA HAAKIM BHI KOI BAANIE SHAR HAI

MAI ROUNGI ROEGAA SINAA PAR MERAA BHAAI
MARJAAE NA IS GHAM SE KAHIN FAATEMAA JAAI
AAJAAO AGAR MERI DUAAON ME ASAR HAI

KAAMP UTH-TAA HUN MAZHAR MAI YEHI SONCH KE AKSAR
BEPARDAA GAYI SAYYADE ZISHAAN KI KHWAAHAR
IS LAFZ ME POSHIDAA MASAAIB KAA SAFAR HAI