Anjuman E Sakina



SHAAM KA BAZAAR AABIDE BIMAAR
PAAOn ME BEDI TOUQE GIRAAnBAAR

BHULEGA NA WOH MANZAR NEZEPE SARE SARWAR
BE MAKNAO BE CHAADAR BALWEME PHUPHI MAADAR
AUR MAJMAE KUFFAAR AABIDE BIMAAR

DARBAARME SAR URIYAAN AATE HARAM GIRIYAAN
UTHNE LAGAA EK TOOFAAN MEHSHARSA KA HAI SAAMAAN
JUMBISHME HAI DARBAAR AABIDE BIMAAR

CHONK UTHHI JO GHABRAAKER BACHHINE KAHAA ROKER
ISS TASHTME HAI JO SAR WOH TO HAI SARE SARWAR
KAISE KARUN DIDAAR AABIDE BIMAAR

HAAKIMNE YE SUNPAAYA TO AUR SITAM DHAAYA
SARPOSH KO SERKAAYA AUR BACHCHIKO DIKHLAAYA
MAARE NA SITAMGAAR AABIDE BIMAAR

SAR JAAKE UTHAAUN MAI YA PAAS BULAAUN MAI
RUDAAD SUNAAUN MAI SINESE LAGAAUN MAI
DEKHE BHARAA DARBAAR AABIDE BIMAAR

KEHNE LAGI PHIR ROKER PYAARI HAI AGAR DUKHTAR
AAJAAIYE HAATHOn PER SAB DEKHLEn YE MANZAR
ULFATKA HO IZHAAR AABIDE BIMAAR

DUKHTARKI SADAA SUNKER PHIR TASHTE TILAASE SAR
GODIMEN GAYAA UTHHKER NAALAAN NE LIPTAAKER
SARPAR RAKKHE RUKHSAAR AABIDE BIMAAR

JAB BAABAKA SAR PAAYA DIL BACHCHIKA BHAR AAYA
HAR ZULMKO DOHRAAYA LOGONE JO SUNPAAYA
AAnKHEn HUI KHUnBAAR AABIDE BIMAAR