Anjuman E Sakina



SOG ME DUBI DUNIYAA THI SAARI
AAYI ALI KI BAN ME SAWAARI
PEHRE PE ZAINAB DARD KI MAARI
BAAP KO DEKHAA ROKE PUKAARI
DEKHO TO BAABAA HAAE DEKHO TO BAABAA
SHAAME GHARIBAAN KAA YE MANZAR

KEHTITHI ROKAR ZAINABE MUZTAR
SHAAME GHARIBAAN KAA YE MANZAR

DETI THI ZAINAB BAN ME DUHAAYI
HAAE MUJHE KYUN MAUT NA AAYI
PHENKAA GAYAA BIMAAR KA BISTAR

TEERON NE CHHEDAA BAAP KA SINAA
SOE KAHAAN PAR BAALI SAKINAA
NAUHAA KUNAA HAI WO JALTI ZAMEEN PAR

SUKHE HUWE KUZON KI SADAA HAI
PYAASE IDHAR HAI UDHAR DARIYAA HAI
NAUHAA YEHI HAI KHUSHK LABON PAR

DASHTE BALAA ME BIKHDE HAIN LAASHE
TUTE HUWE TALWAAR AUR NEZE
DEKHO ZARAA AI FAATAHE KHAIBAR

KAISI LUTI HAAE AALE PAYAMBAR
LEGAYE ZAALIM CHHIN KE CHAADAR
CHAAND SITAAREN ROE YE KEHKAR

DUR HUWE JAB GOD KE PAALE
LOOT GAYE IS GHAR SE UJAALE
RONE LAGI HAIN BAITH KE MAADAR

KHAAK MERE BAALON ME PADI HAI
KHAAK BASAR AULAADE NABI HAI
SAARI KAHAANI KEHTAA HAI ROKAR