Anjuman E Sakina



AY MAUT TEHER JAA AY MAUT TEHER JAA
MAI APNE JAWAN LAAL KO DULHA TO BANALOON

IS LAAL KO MAI KAISE KAROON TERE HAWALE
YE CHAND TO DETA HAI ZAMANE KO UJALE
IS CHAND KE POSHAAK SITARON SE SAJALOON

ATHARA BARAS PHOOLON KI TARHA JISE PAALA
JAATA HAI MUJHE CHOD KE WO GESUON WALA
AB TU HI BATA KAISE MAI IS DIL KO SAMBHALOON

DEKHE THAY BAHUT KHAAB MAGAR KHAAK HUE SAB
IS BETE KI SEHRE KI DUA KARTI THI ZAINAB
DULAH NA SAHI MAI ISE DULAH SA BANALOON

HAR SHAAM JISE LAGTI HAI AB SHAME GHARIBAAN
JO KEHTI THI AKBAR KI DULHAN LAAUNGI AMMA
US FATIMA SUGHRA KO MADINE SE BULALOON

KHAIME SE ZARA DOOR KHADE ROTE HAI SARWAR
EK HAAT KALAJE PE HAI EK HAAT QAMAR PAR
MAI KHUD KO SAMBHALOON KE SHAHE DEEN KO SAMBHALOON

YE KISKI NAZAR KHA GAYI IS NOORE NAZAR KO
VEERAN KIYE JAATE HAI AKBAR MERE GHAR KO
JEE KARTA HAI IS CHAAND KO DUNYA SE CHUPALOON

ZAINAB KE LABON PAR HAI BUKA HAAYE MUQADDAR
KYA SEHRA CHADHAUN MAI TERI LASH PE AKBAR
AUR KHUD KO TERI LAASH PE SADQE HI UTAROON

TAQDEER KISI MAA KO YE MANZAR NA DIKHAAYE
MAIYAT PE JAWAAN LAAL KE WO ASHQ BAHAAYE
JEE BHAR KE ISE DEKHLOON AUR ASHQ BAHAUN