Anjuman E Sakina



LIKHAA HAI RIWAAYAT ME AJAB WAAQEAA GHAM KAA
JAB AALE MUHAMMAD KAA SUE SHAAM SAFAR THAA
DOURAA RAHE THE NAAQON KO BOHOT TEZ SITAMGAR
AISE ME GIRI NAAQE SE SHABBIR KI DUKHTAR
JIS WAQT KHABAR ZAINABE MUZTAR NE YE PAAYI
BE SAAKHTAA HONTON PE YEHI AAYI DUHAAI

GIRGAYI NAAQE SE SAKINAA RUKJAAO ZARAA QAAFELE WAALO

DUKH DARD KI MAARI HAI GALAA ZAKHMI HAI ISKAA
GHASH KHAAKE GIRI HOGI YE MAASOOM HAZINAA
AB JAAN SE GUZAR JAAEGI DUKHYAA

IS UMR ME IS BACHCHI NE GHAM KITNE UTHAAYE
HAI KOUN JO IS BACHCHI KO SINE SE LAGAAYE
DUN APNI BHATIJI KO DILAASAA

KYAA DIL KI JAAGAA SINON ME PATHAR HAI LAEENON
BEJURM ASIRON PE SITAM DHAAYE HAZAARON
KUCHH DER SUKOON DIL KO MILEGAA

IS JALTI HUWI RET PE NAAQESE GIRI HAI
MURDAA HAI KE ZINDAA HAI KE BEHOSH HUWI HAI
DEKHUN TO SAHI HAAL MAI USKAA

ITNE ME SADAA KAANON ME ZAINAB KE YE AAYI
MAASUMAA MERE PAAS HAI DETI HAI DUHAAI
ZAINAB NE KIYAA PHIR YEHI NAUHAA

JIS SIMT SE AAWAAZ YE AAYI THI UDHAR JAB
DEKHAA TO JIGAR THAAMKE RONE LAGI ZAINAB
KEHNE LAGI SAR PIT KE APNAA

EK PED KE SAAYE ME NAZAR AAYI ZAEEFAA
SOTI HAI BADE CHAIN SE GODI ME SAKINAA
AUR KARTI HAI FARYAAD ZAEEFAA

YAARAA NA RAHAA ZABT KAA ZISHAAN PARHUN KYAA
MAZHAR NE RIWAAYAT ME SAFAR SHAAM KAA LIKHAA
AUR ZAINABE DILGIR KAA NAUHAA