Anjuman E Sakina



ZINDAAN KI QAID KAAT KE JAB SAANI-E ZEHRAA
POHNCHI WATAN TO KOI BHI PEHCHAAN NA PAAYAA
ABDULLAA IBNE JAAFARE TAYYAAR NE PUCHHAA
TU KOUN HAI KYAA NAAM HAI TERAA AI ZAEEFAA
YE SUNKE BUKAA KARNE LAGI SAANIE ZEHRAA
ZOUJAA HUN AAPKI MUJHE PEHCHAANO KHUDAARAA

MAI AUN-O MUHAMMAD KI MAA HUN PEHCHAANO KHUDAARAA
MUJHKO TO JITEJI GHAME SHABBIR NE MAARAA

BAALON KI SUFEIDI KAA SABAB PUCHHO NA MUJHSE
IN AANKHON NE DEKHE HAIN SITAM KARBOBALAA KE
GHAR LUTGAYAA SAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

CHEHRE SE NUMAAYAA JO MERE KARBOBALAA HAI
YE HAAL TO ABBAAS KE MARNE SE HUWAA HAI
CHHUTAA WO SAHAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

EK ZAKHM HAI QAASIM KAA MERE QALB-O JIGAR ME
JO CHAAND UJAALON KAA SABAB THAA MERE GHAR ME
WO BHI GAYAA MAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

BAS BHAAI KE MAATAM ME RAHI QAID BHI KAATI
LAIKIN MAI KABHI AUN-O MUHAMMAD KO NA ROYI
AB DETI HUN PURSAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

BAAZAAR ME AABID PE ZAEEFI HUWI TAARI
WO AAJ BHI ROTAA HAI ASIRI PE HAMAARI
GHAM KHWAAR HAMAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

SADAAT KE HALQE NE MUJHE AAKE CHHUPAAYAA
JAB SHAAM KE HAAKIM NE MERAA NAAM PUKAARAA
US RANJ NE MAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

SHIREEN SE MULAAQAAT HUWI RAAH ME EK BAAR
PEHCHAAN NAHIN PAAYI MUJHE WO BHI DIL AFGHAAR
DIL RO KE PUKAARAA- PEHCHAANO KHUDAARAA

IRFAAN YE ALFAAZ JO MAZHAR NE LIKHE HAIN
INSAAN TO KYAA CHIZ HAI PATHAR KO RULAADE
JAISE KE YE JUMLAA- PEHCHAANO KHUDAARAA