Anjuman E Sakina



KUFE KE REHNE WAALO AI KALMAA PARHNE WAALO
ZAAHRAA KI BETIYAAN HAIN MELAA NA TUM LAGAALO

CHAADAR NAHIN HAI SAR PE BAAZU BANDHE HUWE HAIN
DARD-E HAYAA SE SAB KE SAR BHI JUKE HUWE HAIN
TUM BHI KHUDAARAA APNI NAZRON KO AB JUKAALO

PHENKO NA IN PE PATHAR MAARO NA INKO DURRE
NAAMUSE MUSTAFAA KO DEKHO NA AANKH BHAR KE
LAAKAR RIDAA KAHIN SE INKE SARON PE DAALO

PAANI INHE PILAAWO SAAYE ME LEKE JAAWO
ABBAAS KE ALAM KE NICHE INHE BITHAAWO
BIMAAR GIR NA JAAYE BARH KAR ISE SAMBHAALO

WO DEKHO EK BACHCHI JISKE HAIN KAAN ZAKHMI
ROTAA HAI AASMAAN BHI MAZLOOMIYAT PE USKI
BAS EK SADAA HAI USKI BAABAA MUJHE BACHAALO

BACHCHE JO RAASTE ME GIR GIR KE CHAL BASE HAIN
YE QAIDIYON KE DIL ME MAR MAR KE JI RAHEN HAIN
TUM JAAWO JAAKE DHUNDHON INKI LAHED BANAALO

RAIHAAN NAUHAA GOYI IMAAN KAA SHAJAR HAI
TUMKO MILI JO EJAAZ NAUHE KAA YE SAMAR HAI
LIKH LIKH KE AUR NAUHE JANNAT ME GHAR BANAALO