Anjuman E Sakina



SAJDE MEN TAR HAI KHUN SE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN
KIYAA RAB KI RAZAA ME SAJDAA YE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN

BHAAI KI QAASIM NISHAANI HAAE AKBAR KI JAWAANI
GHAAZI NE DI HAI QURBAANI MAANGAA JAB ASGHAR NE PAANI
LAAYE ALAM NISHAANI NEHR SE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN

SAJDE ME THE SHAAHE DEEN AAYAA THAA SHIMRE LAEEN
JAB CHALAA GARDAN PE KHANJAR KAAMP UTHI YE ZAMEEN
TAUHEED BACHAAYI KHUN SE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN

NEZE PE SAR KO CHARHAAYAA ZAALIMON NE ZULM YE DHAAYAA
PHIR USE DAR DAR PHIRAAYAA NAA KISI KO DARD HAI AAYA
QURAAN SUNAAYAA NEZE PE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN

KEH RAHI HAI ZAALIMON SE AAJ BHI MAASUM KI SADAA
YAA HUSAIN IBNE ALI KAA NAUHAA PADTI HAI HAWAA
HAR DOUR ME ZINDAABAAD HAI MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN

JAISE PADKAR HAI DIKHAAI TEERON PE MAULAA NE NAMAAZ
KYAA MISL JAMSHED DUN MAI JIS PE HAI KHAALIQ KO NAAZ
AISAA SAJDAA WO KARGAYE MAULAA HUSAIN MAULAA HUSAIN