Anjuman E Sakina



ABBAAS KAA MAATAM HAI ALAMDAAR KAA MAATAM
EK BEKASO BE YAARO MADAGAAR KAA MAATAM

HAM JAAN BHI MAULAA KE LIYE DEDE TO KAM HAI
AAJIZ YE AZAADAARO PE SHABBIR KAA GHAM HAI
ZANJEER KAA MAATAM HO KE TALWAAR KAA MAATAM

SHABBIR KE NAUHE PE HAI GHAMGEEN FAZAAEN
ABBAAS KAHAAN HO YEHI AATI HAI SADAAEN
HAI KARBOBALAA ME DAR-O-DIWAAR KAA MAATAM

SAAHIL KE LABON PAR HAI SHABO ROZ YE NAUHAA
YE SHOR JO DARIYAA KI RAWAANI MEN HAI BARPAA
MOUJON ME HAI ABBAASE ALAMDAAR KAA MAATAM

SHARMINDAA BHATIJI SE ABHI TAK HAI WOH PYAASAA
BADHTAA HAI ALAM PADKE YE CHEHRE KAA HAI PARDAA
HAM KYUN NA KAREN AISE WAFAADAAR KAA MAATAM

THI ZAINABE GHAMKHWAAR NA CHAADAR THI NA MAHMIL
JO AABIDE BIMAAR THE PAA BANDE SALAASIL
KARTE HAIN USI QAAFELAA SAALAAR KAA MAATAM

HAI SHORE FUGHAAN EHLE HARAM NAALAA KUNAA HAI
ZAINAB KAA YE NAUHAA HAI KE ABBAAS KAHAAN HAI
KHAIMON ME HAI SHABBIR KE GHAMKHWAAR KAA MAATAM

PAANI KE LIYE NEHR KANAARE GAYE GHAZI
ITNE ME SADAN AAYI KE MARE GAYE GHAAZ
ITHI SHEH PE SARE HAIDARE KARRAAR KAA MAATAM

JAB NAZR DO ABBAAS ALAMDAAR KI MEHSHAR
ZAINAB KE LIYE NAZR ME RAKHAA KARO CHAADAR
TAB HOGAA MUKAMMAL TERE ASH-AAR KAA MAATAM