Anjuman E Sakina



AASMAAN DEKH RAHAA THAA
SAQQAA KOI FURAAT PE AAYAA THAA TASHNA LAB
MASHKIZAA BHAR KE JAANIBE KHAIMAA CHALAA WOH JAB
BARSE WO TEER CHHIDGAYI MASHK-E SAKINAA JAB
ROYAA ALAM FURAAT WAFAA MASHK AUR SAB
GUNJI MAQTAL ME SHAHE DEEN KI SADAA
QATL DARIYAA PE ALAMDAAR HUWAA

QATL DARIYAA PE ALAMDAAR HUWAA
AUR PYAASON KI AAS TUT GAYI
AAYAA MAQTAL SE ALAM KHUN ME BHARAA
AUR PYAASON KI AAS TUT GAYI

DIN DHALAA SHAAME GHARIBAAN KE ANDHERE CHHAAE
BAS SAKINA NE YEHI ROKE KAHAA

AB MERE SAR SE RIDAA JAAEGI ZAINAB NE KAHAA
RODIYE SUNKE SHAHE KARBOBALAA

TERE AMMU JO TERI PYAAS PE QURBAAN HUWE
SHEH NE YE BAALI SAKINAA SE KAHAA

HAATH ME SUKHE HUWE KUZE LIYE BAITHE THE
MARSIYAA ABBAAS KAA MAULAA SE SUNAA

KHUNE ABBAAS JO PARCHAM SE TAPAKTE DEKHAA
DUKHTARE SHAAH KAA DIL DUB GAYAA

ROKE KULSUM SE FIZZAA NE KAHAA SHEHZAADI
TERI CHAADAR KAA MUHAAFIZ BHI GAYAA

DONO HAATHON SE KAMAR THAAME HUWE SHEH NE KAHAA
BUJ GAYAA MERI UMMEEDON KAA DIYAA

ALATASH KEHKE JO ROTE THE WOH KHAAMOSH HUWE
CHHAAYI MAAHOL PE MAATAM KI FAZAA

ROYE SAADAAT TO DARIYAA KAA KANAARAA ROYAA
ZINDAGI ROYI KAHIN ROYI QAZAA

YE SADAA MAZHAR-O IRFAAN BANI HAI NAUHAA
QATL DARIYAA PE ALAMDAAR HUWAA