Anjuman E Sakina



SAB KHUN ME TAR HOGAYE MAA KEHTI THI ROKAR
QAASIM TERI MEHNDI TERAA SEHRAA ALI AKBAR

ATHAARAA BARAS PAAL KE KHOYAA TUMHE RAN ME
TUKDOn ME BADAN BAT GAYAA QAASIM TERAA RAN ME
KIS MUnH SE WATAN JAAEGI BETAA TERI MAADAR

HOTAA HAI JAWAAn LAAL TO DIN PHIRTE HAIn MAA KE
TUM DONOn NE KHAAE HAIn MAGAR ZAKHM SINAA KE
MAA PHIRTI HAI AB THOKARE KHAATI HUWI DAR DAR

WO CHAAND SAA SINAA WO SINAA ZEHR ME DUBI
WO KHUN SE HAATHOn PE SAJI MOUT KI MEHNDI
INSAAN TO KYAA PHUT KE RONE LAGE PATHAR

EK PHUL THAA SHABBIR KAA EK CHAAND HASAN KAA
MAA BEHNOn KO ARMAAN THAA DONOn KI DULHAN KAA
ARMAAN MAGAR REHGAYE SAB KHAAK ME MILKAR

BIMAAR BAHAN AAS LAGAAYE HAI WATAN ME
PARDES ME DO CHAAND MAGAR AAYE GAHAN ME
SUGHRAA KO KHABAR KOUN MAGAR DEGAA YE JAAKAR

EK LAAL THAA AUR DUSRAA BHAAI KI NISHAANI
KAAM AAGAYI ISLAAM KE DONOn KI JAWAANI
PYAAS APNI BUJHAANE GAYE DONOn LABE KAUSAR

EK BETAA THAA AUR EK BHATIJAA SHAHE DEEn KAA
AFSOS KE PAIWAND HUWAA DONOn ZAMEEN KAA
DONOn KE LIYE ROTE THE SAR PITKE SARWAR

FARWAA KAA JIGAR EK THAA EK LAYLAA KI JAAn THAA
IN DONOn KE MARNE SE QAYAAMAT KAA SAMAA THAA
DO MAAOn KE SINE PE CHALAA EK HI KHANJAR

QAASIM KAA BADAN AUR ALI AKBAR KAA KALEJAA
SHABBIR NE DAAMAN ME KUCHH IS TARHA UTHAAYAA
JIS TARHAA KOI PHOOL RAKHE KHAAK SE CHUNKAR

SEHRAA MUJHE LIKHNAA THAA MAGAR LIKHTAA HUn NAUHAA
RAIHAAN AJAB HAAL HUWAA MERE QALAM KAA
JAB MAINE LIKHAA QATL HUWE QAASIM-O-AKBAR