Anjuman E Sakina

LAASHE KAA PATAA DO YAA AAP HI LAADO
AI KUFIYO MUJhKO MERE DILBAR SE MILAADO

TUM ME SE AGAR SAAHIBE AULAAD HO KOI
SO AAG YEh SINE ME BARAKTI HAI BUJAADO

DUSHMAN KO BHI KHUDAA NA DIKHAAE PISAR KAA DAAGH
DIL KO FIGHAAR KARTA HAI LAKHTE JIGAR KAA DAAGH
AAnKHOn KAA NUR KHOTAA HAI NURE NAZAR KAA DAAG
MARNAA JAWAAN BETAA KAA HAI UMR BHAR KAA DAAGH
YEh HAAL IBNE FAATEMAA KE DIL SE PUCHHIYE
ZAKHME JIGAR KE DARD KO GHAAYAL SE PUCHHIYE

BIBIYO MAARAA GAYAA NAUJAWAAn AKBAR MERAA

DIL SAAHIBE AULAAD SE INSAAF TALAB HAI
DUNIYAA ME PISAR BAAP KI ZEENAT KA SABAB HAI

AULAAD KAA HONAA BHI BARI BAKHSHISHE RAB HAI
SACH HAI YEh MAGAR BAAP BHI BETE KAA GHAZAB HAI

HANGAAMAA QAYAAMAT KA BAPAA KARTI HAI TAQDIR
SHABBIR SE AKBAR KO JUDAA KARTI HAI TAQDIR

JAB BARCHI KHAAKE CHUR HUWAA AKBARE JAWAAn
FARZANDE FAATEMAA KAA KAHUn KIS ZABAAn SE HAAL

LARZAA THAA JIS ME PAAK ME KHURSHID KE MISAAL
CHILLAATE THE SHAHEED HUWAA HAAYE MERAA LAAL

THAAME HUWE KALEJE KO GHABRAATE PHIRTE THE
EK EK QADAM PE ThOKARE KHAA KHAA KE GIRTE THE

HAR DAM PUKAARTE THE KE AKBAR KIDHAR GAYE
AI NURE CHASHME BAANUE BEPAR KIDHAR GAYE

MARTAA HAI BAAP AI MERE DILBAR KIDHAR GAYE
AAWAAZ DO SHABIHE PAYAMBAR KIDHAR GAYE

AI MERE SHER KYAA KISI JANGAL ME CHHUP GAYE
AI MERE CHAAND KONE SE BAADAL ME CHHUP GAYE

US NAUJAWAAn PISAR KI JO LAILAA NE PAAI LAASH
PHAILAAKE HAATH CHHAATI SE JALDI LAGAAYI LAASH

KEHTI THI MAA NISAAR HO AAnKHE TO WAA KARO
IN KHUN BARI ZULFO PE MUJhKO FIDAA KARO

HAI HAI NA TERAA PYAAR RACHAANAA HUWAA NASIB
HAI HAI NA DULHAN PYAAR KE LAANAA HUWAA NASIB

POTE KO GOD ME NA KHILAANAA HUWAA NASIB
SHAADI KE BADLE KHAAK UDHAANAA HUWAA NASIB

HAS HAS KE ABHI MAA KISE DULHAA BANAAYEGI
WAARI JAWAAB DO KE DULHAN KISKI AAYEGI