Anjuman E Sakina



HAAE ALI AKBAR – ALI AKBAR
HAAE WHO JAWAAN LAASHAA WHO BUD-HAAPAA HUSAYN KAA

IBNE NAMEER TUMSE YE ZAINAB KAA HAI SAWAAL
NEZE KO TOD-TE HUWE AAYAA NA YE KHAYAAL
HAM-SHAKL YE JAWAANA HAI SHAHE MASHRAQAIN KAA

WHO JISKE INTEZAAR MEN SUGHRAA HAI BEQARAAR
SHAAYAD HO KHAT MAN ISSKAA QAYAAYAT KO INTEZAAR
LAKHTE JIGAR HAI FAATAHE BADRO HUNAYN KAA

JABSE CHALE KHAYAAMSE HAM-SHAKLE MUSTAFAA
MAATAM KUNAA HAI ARSH TO LARZE MEN KARBALAA
PAIHAM BAPAA KHAYAAM MEN EK

ZAINAB TUMHAARE SAAJI MEN KALTAK THAA JO PALAA
NEZE KAA PHAL JO TUTAA TO HAATIF NE DI SADAA
BE-JURM QATL LAYLAA KAA HAI NURE AIN KAA

JIS ROZSE JAWAAO KI JAWAANI HAI UTHH GAYI
MOVJE FURAAT KI BHI RAWAANI HAI UTHH GAYI
BE-IKHTIYAAR NEER HAI MOMIN KE NAYN KAA

KAISE UTHAAYE LAASHKO MAZLUME KARBALAA
MUNH PHER KAR HUSAYN NE ALLAAHSE KAHAA
LE IMTEHAAN SHOVK SE SABRE HUSAYN KAA