Anjuman E Sakina



GHAR GHAR MAATAM DAR DAR MAATAM
TERAA HOTAA RAHE MAULAA MAATAM
BASTI BASTI QARIYA QARIYA TERAA HOTAA RAHE MAULAA MAATAM

TERAA MAATAMI AI MERE MAULAA
DUNIYAA KE KISI KONE ME GAYAA
MASROOF RAHAA MAATAM ME TERE
DETAA HAI SUKOON TERAA MAATAM

JAB DIL NE KAHAA AAYI ZAHRAA,
MERE GHAR ME BAHAANE ASHQE AZAA
BAS MAINE BICHHAA KE FARSHE AZAA
KUCHH DER KIYAA BARPAA MAATAM

KAL HAATH BANDHE THE ZAINAB KE
MAJBOOR BAHEN THI MAATAM SE
MAJLIS HAI TERI GHAR GHAR BARPAA
AB KARTI HAI SAB DUNIYAA MAATAM

ABBAAS KE SHAANE KAT TO GAYE
MAASOOM TERE PYAASE BHI RAHE
GHAAZI KE LIYE BACHON KE LIYE
AB KARTAA RAHE DARIYAA MAATAM

AASHUR KO JAB SURAJ NIKLAA
ZAHRAA KE BHARE GHAR KO DEKHAA
PHIR CHAAND NE ZAINAB KO DEKHAA
KARTI HAI BHARE GHAR KAA MAATAM

KARBAL SE SAFAR THAA SHAAM KAA JAB
LAASHE PE PUKAARI YE ZAINAB
TAA HASHR TERI MAZLOOMI PAR
KARNAA HAI MUJHE BHAYYAA MAATAM

JO KARBOBALAA SE SHAAM GAYI
WO BINTE ZAHRAA BINTE ALI
SAB MAAEN BEHNEN MILKAR AB
KARTI HAI SADAA USKAA MAATAM

BIMAAR THAA AUR ZANJEERE THI
PAIRON KE TALE HILTI THI ZAMEEN
SAJJAAD KE GHAM ME RO ROKER
KARTAA HAI HAR EK RASTAA MAATAM

SARDAARE JINAA SHABBIR HAIN JAB
RAIHAAN KAHUN YE BAAT BHI AB
SARWAR JO SUNAAEGAA NAUHAA
JANNAT ME BAPAA HOGAA MAATAM