Anjuman E Sakina



ALWIDAA ALWIDAA ALWIDAA ALWIDAA
LAASHE MAZLOOM PAR ROKE BOLI BAHAN
ALWIDAA ALWIDAA ALWIDAA ALWIDAA
WAQTE RUKHSAT HAI YE AI GHARIBUL WATAN

BHAYYAA SAR PAR MERE AB RIDAA BHI NAHIN
SHIDDAT-E DHOOP SE TAP RAHI HAI ZAMEEN
ISS ZAMEEN PAR HAI LAASHAA TERAA BE KAFAN

DASHTE GHURBAT ME AAKAR BAHAN LUTGAYI
APNE MAZLOOM BHAAI SE MAI CHHUT GAYI
MAI UTHHAATI HUN HAR EK RANJ-O MAHAN

SUBHO SE SHAAM TAK MERAA GHAR LUTGAYAA
HAAYE MAQTAL ME ZAADE SAFAR LUTGAYAA
HOGAYA RAN ME BARBAAD MERAA CHAMAN

PUSHT PAR TAAZIYAANE BHI MAARE GAYE
AUR SAKINAA KE GAUHAR UTAARE GAYE
MERE HAATHON ME BAANDHI GAYI HAI RASAN

TERAA MAATAM KARUNGI HAI WAADAA MERAA
FARSHE GHAM MAI BICHHAAUNGI HOKAR RIHAA
ROEGI TUJHKO AB BINTE KHAIBAR SHIKAN

WAQT ZAINAB PE BHAYYAA YE DUSHWAAR HAI
HAI SAFAR SHAAM KA RAAHE PUR-KHAAR HAI
TAAZIYAANON SE ZAKHMI HAI MERAA BADAN

PUCHHTI HAI SAKINAA HAI BAABAA KAHAAN
SAR JUKAAE HUWE KAR RAHI HAI FUGHAAN
PYAAS SE RO RAHI HAI WO TASHNAA DAHAN

TERI TURBAT BANAAWUN YE ARMAAN THAA
GHAM YEHI HAI MUJHE DILBAR-E SAYYADAA
DASHTE GHURBAT SE JAATI HAI YE BEWATAN

QAIDIYON KAA MUHIB JAB CHALAA QAAFELAA
AI NAQI YAA HUSAINAA KI AAYI SADAA
BINTE ZEHRAA KE LAB PAR YEHI THE SUKHAN