Anjuman E Sakina



AKBAR HAAE AKBAR
AKBAR JAWAAN ABHI TERE MARNE KE DIN NA THE
APNE LAHU ME AAH SAWARNE KE DIN NA THE

RUKTAA NAHIN HAI SINE SE JO KHUN HAI RAWAAN
AI LAAL YE BATAADO KE KIS JAA LAGI SINAA
APNI RIYAAZATON KAA KHAZINAA TO DEKH LUN
AKBAR HATAAO HAATH MAI SINAA TO DEKH LUN

TUM KIYAA GIRE HO MAQTAL MEN UTH NA SAKAA HUSAIN
TUMKO SINAA LAGI HAI PAR ZAKHMI HUWAA HUSAIN
AANKHEN JO TUM CHURAATE HO DIL CHHOD-TE HAIN HAM
TUN HINCHKIYAAN JO LETE HO DAM TOD-TE HAIN HAM

AWLAAD PE JAB AATAA HAI ATHAARWAAN BARAS
KHUSHIYAAN SAMET LAATAA HAI ATHAARWAAN BARAS
DULHAA SE AAP LAGTE THE HAR EK LIBAAS MAI
DIL MAA KA SHAAD REHTAA THAA SEHRE KI AAS ME

QAASID KHADAA HAI PEHLU ME AI LAAL DEKH LO
SUGHRAA DUAAEN DETI HAI AAMEEN TO KAHO
RAKHTAA HUN KHAT KO LAASH PE DILBAR JAWAAB DO
SUGHRAA SALAAM KEHTI HAI AKBAR JAWAAB DO

AI SHERE KIBRIYAA MUJHE QUWWAT ATAA KAREN
LAASHE JAWAAN UTHAANE KI HIMMAT ATAA KAREN
AANKHON KAA NOOR LEGAYI NOORE NAZAR KI LAASH
KHAIBAR KE DAR SE WAZNI HAI MERE PISAR KI LAASH

BAS AI RAZAA KALAAM KO KARDO YAHAAN TAMAAM
MASH-GHUL E GIRYAA HOGAYE MAJLIS ME KHAAS-O-AAM
SADMAA PADAR KO AKBARE ZISHAAN DETE HAIN
SUBHO AZAAN DETE THE AB JAAN DETE HAIN