Anjuman E Sakina



ZAINAB NE KAHAA LAASHA-E SARWAR PE YE RO KAR
MAI SHAAM CHALI HUN

AB QASSIM-O AKBAR HAI NA ABBAASE DILAAWAR
MAI SHAAM CHALI HUN

HAI YAAD KE EK ROZ YE AMMAA NE KAHAA THAA
MAQTAL ME KOI WAALI-O WAARIS NAHIN HOGAA
SAIDANIYAAN HO JAAEGI BE MAQNA-O CHAADAR
MAI SHAAM CHALI HUN

JAL JAAENGE KHAIME BHI RIDAAEN BHI CHHINENGI
MAQTAL ME NABI ZAADIYAAN BE PARDAA PHIRENGI
SAB MAAL YAHAAN LOOTNE AAENGE SITAMGAR
MAI SHAAM CHALI HUN

KAANON SE GAUHAR CHHINEGAA JAB SHIMR KAMINAA
DARYAA KE TARAF DEKH KE TADPEGI SAKINAA
WO WAQT BHI AAJAAYEGAA AULAADE NABI PAR
MAI SHAAM CHALI HUN

SADMAA HAI KE TUJHKO MAI KAFAN DE NAHIN PAAYI
CHAADAR BHI CHHINI SAR SE DUHAAI HAI DUHAAI
EK ROZ ME LOOTAA GAYAA ZEHRAA KAA BHARAA GHAR
MAI SHAAM CHALI HUN

KAISI YE QAYAAMAT HAI KE MAI QAID HUWI HUN
CHHEH MAAH KE ASGHAR KO TUMHE SONP RAHI HUN
DARJAAYE NA MAQTAL ME AI BHAYYAA MERAA ASGHAR
MAI SHAAM CHALI HUN

MAALUM HAI BAAZAAR ME JAANAA HAI ABHI TO
DARBAAR ME KHUTBAA BHI SUNAANAA HAI ABHI TO
RUKHSAT KARO AI BHAAI KE JAATI HAI YE KHWAAHAR
MAI SHAAM CHALI HUN

HAI QAID-E MUSIBAT ME PAYAMBAR KAA GARAANAA
HAMSHEER HAI AB SHAAM KE ZINDAAN KO RAWAANAA
JAATI HAI BAHAN LUT KE AI MAZLOOM BIRAADAR
MAI SHAAM CHALI HUN

YE ASHQ-E MUHIB AUR GHAME SIBTE PAYAMBAR
ARMAAN HAI US BIBI KAA YE MAATAME SARWAR
JO LAASHA-E SHABBIR PE KEHTI THI YE ROKAR
MAI SHAAM CHALI HUN