Anjuman E Sakina



KHAIME MAY AAKE SHAH NE JAB ALWIDA KAHAA
KOHRAAM MACH GAYA KOHRAAM MACH GAYA

THA JISKA INTEZAR WO SA'ATH QAREEB HAI
DIN DHAL RAHAA HAI SHAAME MUSIBAT QAREEB HAI
KUCH DAYR KI HAI BAAT QAYAMAT QAREEB HAI
ZAINAB GHAREEB BHAI KI RUKHSAT QAREEB HAI
YE KEH KE MAANGA MAA KA JO KURTA SILA HUA

KUCH DUR HATKE KHAIMEME BOLE SHAHE ZAMAN
ZEHMAT NA HO BAAZU BADHAO BEHAN
MAI BOSAY LUN WO HAATH KE BANDHEGI JAHAN RASAN
BAAZU BADHA KE ROTI THI HAMSHEERE KHASTATAN
BHAI BEHAN KE BAAZU KO JAB CHUMNE LAGA

YE SUNKE BINTE FATEMA ZEHRA TADAP GAYI
BOLI GALA BADHAO BAS AB JALD YAA AKHI
AMMA KI BAAT AAJ MUJHE YAAD AAGAYI
MAI BOSAY LUN WAHAN KE CHALEGI JAHAN CHURI
ZAINAB NE BADKE CHUMA BARAADAR KA JAB GALA

BETI SE PHIR YE KEHNE LAGA FATEMA KA LAAL
REHNA PHUPHI KE PAAS RAKHENGI TERA KHAYAAL
GHURBAT HAI TUM PHUPHI SE NA KARNA KOI SAWAAL
WARNAA TERE PADAR KO BOHOT HOYEGA MALAAL
PHIR SAR PE HAATH RAKH KE JO DENE LAGAY DUA

BETI KO JAB SIPURDE BEHAN KAR CHUKE IMAM
ROKAR BAHEN SE KEHNE LAGAY AASMAN MAQAAM
JAANAA WATAN JO QAID SE CHUTKAR AY TISHNAQAAM
KEHNA LEHAD PE MAA KI MERAA AAKHRI SALAAM
AAYA JO LAB PE FATEMA ZEHRA KA TAZKIRAA

AABID SE PHIR YE KEHNE LAGAY SHAHE KARBALA
BEWAON AUR YATEEMO KA AB TUM HO AASRAA
JO IMTEHAN MERA THA SAB MAINE DEDIYA
AAGAY TERA CHIRAAGH HAI BEMAARE KARBALA
BEMAAR BETA BAAP SE JIS DAM JUDA HUA

KHAIME SE BAAHAR AAYE JO SULTANE KARBALA
SAR KO JHUKAYE ROTA THA KHUD ASPE BAWAFA
AB KIS TARHA SAWAAR HO ZEHRA KA LAADLA
TANHAI KE SIWA KOI YAWAR NAHI BACHAA
JAB SUWE NEHR DEKH KE GHAZI KO DI SADA

BHAI KO TANHA DEKH KE ZAINAB TADAP GAYI
ROTI HUWI HUSSAIN KE NAZDEEK AA GAYI
AUR PHIR RAQAAB THAAM KE BOLI AY SHAHE DEEN
LO MAI SAWAAR KARTI HUN ABBAS GAR NAHI
WAAYIZ HUA SAWAAR JO ZEHRA KA LAADLA