Anjuman E Sakina



HAAYE QAYAAMAT KAA HAI SAMAAN
CHHAANE LAGI SHAAME GHARIBAAN
KHAIMA-E SAADAT SE UTHTHAA DHUAAN
HAAYE QAYAAMAT KAA HAI SAMAAN

DHAL GAYAA DIN KHATM LADAAI HUWI
MOUT KI KHAAMOSHI HAI CHHAAYI HUWI
CHAAK GIREHBAAN KHUDAAI HUWI
KHAAK BASAR FAATEMAA JAAI HUWI
LARZI ZAMEEN KAAMP UTHAA AASMAAN

NURE NAZAR RAAJ DULAARE GAYE
ZAINABE DILGIR KE PYAARE GAYE
SHAAH KE ANSAAR BHI MAARE GAYE
AAS THI JIN PAR WO SAHAARE GAYE
LUT LIYAA MOUT NE YE KAARWAAN

KHUN ME HAI TAR SHERE JARI KAA ALAM
HOGAYAA SHABBIR KAA SAR BHI QALAM
KHUSHIYAAN MANAANE LAGI FOUJE SITAM
GHAM SE TABAAH HAAL HAIN EHLE HARAM
LUTGAYI KAUNAIN KI SHAAHZAADIYAAN

AUN-O MUHAMMAD NAHIN AKBAR NAHIN
SARWAR-O ABBAAS DILAAWAR NAHIN
HAAE KOI MUNIS-O YAAWAR NAHIN
KHAIME ME BHI MAKNA-O CHAADAR NAHIN
DASHT ME HAIN AALE NABI BE-AMAAN

MAADAR-E AKBAR KAA AJAB HAAL HAI
DETAA HAI JAB KOI TASALLI USE
KEHTI HAI DIL THAAM KE ROTE HUWE
KHO GAYE IS BAN ME SAHAARE MERE
CHALBASAA HAAE MERAA KADIAL JAWAAN

MAA HUN HAR EK RANJ UTHAAUNGI MAI
DODTI HUWI KHUD CHALI JAAUNGI MAI
DHUNDHKE BESHIR KO LAAUNGI MAI
USKE BINAA JI NAHIN PAAUNGI MAI
REHGAYAA HAAYE MERAA BACHCHAA KAHAAN

HAAE YE BECHAARGI YE BEKASI
DETAA NAHIN USKO DILAASAA KOI
DARMIYAAN LAASHON KE AKELI KHADI
KEHTI HAI BACHCHI KOI SEHMI HUWI
DHUNDHNE JAAWUN TUMHE BAABAA KAHAAN

HAI YE GAUHAR AZMATE BINTE ALI
SAB KO SAMBHAALAA BHI HIFAAZAT BHI KI
GHAM ME SHAHE DEEN KE BHI ROTI RAHI
MAAMTAA PE AANCH BHI AANE NA DI
MAA TO HAI BAS AUN-O MUHAMMAD KI MAA