Anjuman E Sakina



MAQTAL MEn KEH RAHI HAI SARKO JUKAA-E ZAINAB
BHAAI TUMHAARA LAASHAA KAISE UTHHAAE ZAINAB
BEKAS ZAINAB BE GHAR ZAINAB MUZTAR ZAINAB

SIN-E PE THAA SITAMGAR AUR HALQ PE CHHURI THI
TUM ZIB-HA HO RAH-E THE MAI SAAMNE KHARI THI
GUZRI HAI JO BAHAN PAR AB KYAA BATAAE ZAINAB

HAI BEKASI KA AALAM AB HAAE MAI KARUn KYAA
GODOn KI NAAL BANDI KARTI HAI FOVJE AA-A-DAA
PAAMAAL HOGAA LAASHAA KAISE BACHAAE ZAINAB

HAI DES ZAALIMOn KA KOI NAHIn HAI APNAA
JALTI HUWI ZAMIn PAR TUM BE KAFAN HO BHAYYAA
TUMKO KAFAN KAHAAnSE LAAKAR PINHAAE ZAINAB

GOD-E SE JAB GIR-E THE HAMSHIR PAAS AATI
AA-KAR TUMHAAR-E SARKO ZAANUn PE MAI UTHAATI
ROK-E THAA RAAH ZAALIM KYAA KARTI HAAE ZAINAB

AMMAA SE ARZ KARNAA SAB DAASTAAn HAMAARI
KEHNAA BOHOT HI DUKH MEn HAI AAPKI WOH JAAI
MAADAR KE PAAS JAAKAR JAB YAAD AAYE ZAINAB

GER-E HUWE HAU AA-A-DAA TANHAA SAMAJ KE MUJHKO
GAR HO SAK-E TO MERE ABBAAS KO BULAA DO
LE KAR RASAN KHADE HAI ZALIM BALAAE ZAINAB

HASRAT THI YE BAHANKI HOTAA AGAR MADINAA
MAI DHUM SE UTHAA TI BHAYYAA TERAA JANAAZAA
HAI DES ZAALIMOn KA KISKO BULAAE ZAINAB

GER-E HUWE HAI DARIYAA ZULMO SITAM KE BAANI
MAJBUR HAI YE DUKHIYAA KIS TARHA LAAE PAANI
BACHCHOn KI TASHNAGI KO KAISE BUJAAE ZAINAB