Anjuman E Sakina



BAANU KAHAAN TALAASH KARE APNE LAAL KO
JANGAL ME MAAR DALAA HAI ZEHRAA KI AAL KO

SHABBIR LAA RAHEN HAIN MAIDAAN SE DEKHIYE
APNE ZAEEF KAANDHE PE ATTHAARAA SAAL KO

AMMAA KI NIGAAHON SE MERAA ZAKHM CHHUPAANAA
BAABAA MERE SINE ME SINAA TOOT GAYI HAI

IS TARHA KALEJE ME UTAR AAYI HAI BARCHHI
SINAA NAHIN ARMAAN BHI MAA KE HUWE ZAKHMI
CHAAHAA THAA MERI MAA NE MUJHE DULHAA BANAANAA

JI CHAAHTAA HAI AAP KE TASLEEM KO UTHUN
RUTBE KAA TAQAAZAA HAI KE TAAZIM KO UTHUN
MUSHKIL HAI MAGAR HAATH KALEJE SE HATAANAA

MAI JAANTAA HUN ZID WO BOHOT TUM SE KAREGI
TANHAA TUMHE ZAINAB KABHI AANE NAHIN DEGI
MAQTAL ME MERI PAALNE WAALI KO NA LAANAA

YE SONCH KE AKBAR KAA PHATAA JAATAA HAI SINAA
AWAAZ NA SUNLE KAHIN MAASOOOM SAKINAA
SAJJAD KO AAHISTAA ZARAA JAAKE BATAANAA

ALLAAH KARE LOUT KE TUM JAAWO WATAN KO
MAJBOORIYAAN BHAAI KI BATAADENAA BAHAN KO
TUM MERI TARAF SE USE SINE SE LAGAANAA

QAATIL NE SINAA TODI TAKALLUM YEHI KEHKAR
SUNTAA HUN KE SAABIR HAI BOHOT SIBTE PAYAMBER
AKBAR NE KAHAA SABR KI MERAAJ DIKHAANAA