Anjuman E Sakina



SAJJAAD KI GHAIRAT NE DEKHE
KYAA MANZAR SHAAM KI RAAHON ME
DEKHAA HAI SAYYAD ZAADIYON KO
BE CHAADAR SHAAM KI RAAHON ME

GARDAN KO JUKAA KAR ROTAA THAA
JAB DEKHAA SAJAA BAAZAARON KO
BAAZAAAR ME JAB LAAE ZAALIM
BE PARDAA PARDE-DAARON KO
AABID KE JIGAR PAR CHALTAA THAA
EK KHANJAR SHAAM KI RAAHON ME

PUR KHAAR SAFAR KAA GHAM THAA AUR
NAA SADMAA TOUQ AUR BEDI KAA
EK DARD SHAHE MAZLOOM KAA THAA
EK GHAM THAA HARAM HAI BE PARDAA
GUZRAA HAI SAFAR BIMAAR KAA BAS
ROROKAR SHAAM KI RAAHON ME

DURRON KI AZIYYAT SEHTAA HAI
ZAKHMON SE KHUN BHI BEHTAA HAI
AUR SHAAM KE LOGON SE AABID
DIL THAAM KE BAS YE KEHTAA HAI
MAI ITNAA SAWAALI HUN DEDO
BAS CHAADAR SHAAM KI RAAHON ME

SAJJAAD TADAP KAR KEHTAA THAA
YE SHAAM KE LOGON SE AKSAR
AI SHAAMIYON ITNAA BATLAAWO
KYUN REHM NAHIN KHAATE HAM PAR
AULAADE PAYAMBAR PAR BARSE
KYUN PATHAR SHAAM KI RAAHON ME

NEZE PE JO DEKHAA SAR SHEH KAA
BIMAAR NE DIL KO THAAM LIYAA
FARMAAYAA BAABAA DEKHIYE TO
UMMAT NE KAISAA HAAL KIYAA
PHIRTAA HUN HARAM KO SAATH LIYE
MAI DAR DAR SHAAM KI RAAHON ME

PARDES ME APNE SHEHR KAA HAR
EK MANZAR YAAD AAJAATAA THAA
WO SHAAN-O-SHAUQAT SONCH KE HI
AANKHON SE LAHU BARSAATAA THAA
AATAA THAA MADINAA YAAD USE
JAB AKSAR SHAAM KI RAAHON ME

NEZON PE SAJAA KAR LAAYE THE
SAR JANNAT KE SARDAARON KE
YE DEKH KE BAS DIL ROTE THE
ALLAH, NABI KE PYAARON KE
SAJJAAD KE AANSU GIRTE THE
KHUN BAN KAR SHAAM KI RAAHON ME

JO DARD SAHE HAIN AABID NE
TAARIKH BHULAAEGI KYUN KAR
MAI DEKH RAHAA HUN RAAHON KO
MAI DEKH RAHAA HUN WO MANZAR
HAA AB BHI WOHI BAAZAAR SAJI
HAI SAFDAR SHAAM KI RAAHON ME