Anjuman E Sakina



ZAINAB, MERI BACHI KAA RAKHNAA KHAYAAL

YE SAKINAA JO HAI MERE DIL KAA SUKOON
BAAD MERE BAHAAEGI AANKON SE KHUN
KHAAK PAR SOYEGI IS QADAR ROEGI
MIL NA PAAEGI AB HAM SE MAR KAR KABHI

KAMSINI BEKASI AUR YE TASHNAGI
AUR US PAR AZIYYAT TAMAACHON KI BHI
SEH NA PAAEGI YE GHAM UTHAAEGI YE
HAM SE MAQTAL ME MILNE KO AAYEGI YE

KHUN TAPKEGAA KAANON SE BHI IS QAADAR
HOGAA DAAMAN MERI SHAAHZAADI KAA TAR
ZAKHM DIL ME LIYE ASHQ KAB TAK PIYE
AI BAHEN AI BAHEN TUM KHUDAA KE LIYE

APNE PEHLU ME SHAB KO SULAANAA ISE
KHUD NA JAAGE TO TUM NAA JAGAANAA USE
HAI MERI ILTEJAA MAI TO MARNE CHALAA
BANDHNE DETAA NA RASSI ME ISKAA GALAA

BAADE ABBAAS PAANI YE MAANGE AGAR
APNE SINE SE LIPTAAKE TUK ISKAA SAR
AP BAHEN NAUHAAGAR KARKE AANCHAL KO TAR
RAKHNAA PYAASI SAKINAA KO RUKHSAAR PAR

PAA BAREHNAA SAFAR KI YE AADHI NAHIN
SHAAM KI RAAH ME HOGI JALTI ZAMEEN
JAB YE PAIDAL CHALE PAAUN JALNE LAGE
APNI GODI ME LEKAR LAGAANAA GALE

SHIMR NAZDIK AAYE NA ISKE KABHI
US SE DARTI BOHOT HAI MERI LAADLI
WO HAI ITNAA SHAKI KAM HAI HAIWAAN BHI
ZULM DHAAYE NA WO DEKHO ISPAR KABHI

ISKO MAANGE KANIZI ME KOI AGAR
TEGH KHUTBON KI DARBAAR ME KHENCH KAR
HONAA SINAA SIPAR GHAIZ KI HO NAZAR
GIRNAA QEHRE KHUDAA BAN KE DARBAAR PAR

GHAM SE RAIHAAN HOTAA HAI TUKDE JIGAR
AI RAZAA GUZRI KYAA HOGI ABBAAS PAR
HAAYE ZINDAAN ME GHAM KE TUFAAN ME
AAYI HOGI SADAA SHEH KI AB KAAN ME