Anjuman E Sakina



CHEHLUM KO AARAHE HAIN GHARIBAANE KARBALA
UTHTE HAI KAAMP KAAMP SHAHIDAANE KARBALA

KUCHH BE KAFAN SHAHID HAI KUCHH BERIDA ASIR
VOH BE KHATAA QATIL HAI YEH BE KHATA ASIR
YUN BHI KOI JAHAANME NA HUWE KHUDA ASIR
JAISE HUWE ASIR ASIRAANE KARBALA

NAMOOSE PANJATAN KE NIGEHDAAR AAGAYE
ZINDAANSE CHHUTKE AABIDE BIMAAR AAGAYE
BE GODO BE KAFAN KE AZAADAAR AAGAYE
MAIDAANE HASHR BANGAYA MAIDAANE KARBALA

BHAAI KO RONE ZAINABE DILGIR AAGAYI
WOH BINTE DUKHTARE SHAHE LAULAAK AAGAYI
VOH SOG WAARE PANJATANE PAAK AAGAYI
KARNE SALAAM AAKHARI MAIDAANE KARBALA

APNI KHUZAADI ZAINABE DILGIR PAR SALAAM
BAALI SAKINA DUKHTARE SHABBIR PAR SALAAM
UMME RABAAB MAADARE BESHIR PAR SALAAM
LO AAKHARI SALAAM SHAHIDAANE KARBALA

CHAALISWAAN HAI DARD KE AJZAA BIKHAD GAYE
RAVNAK THI JINSE AAJ YAHAANSE KIDHAR GAYE
JI BHARKE HUM NA ROE SAFAR AAP KAR GAYE
LO AAKHARI SALAAM SHAHIDAANE KARBALA

AI SHEHARBAANU MAADARE AKBAR TUMHE SALAAM
AI BEWAE JANAABE ALAMDAAR AS SALAAM
AI UMME FARWA MAADARE QAASIM TUMHE SALAAM
LO AAKHARI SALAAM SHAHIDAANE KARBALA

AGLE BARAS BHI AAP HAI AUR AAP KE GHULAAM
ZINDAA RAHE TO HAI ISSI MATAMSE HUMKO KAAMP
AUR CHALBASE TO AAKHARI HOGA YEHI SALAAM
LO AAKHARI SALAAM SHAHIDAANE KARBALA