Anjuman E Sakina



YE KOUNSI MASTOORAA HAI KYAA MAANG RAHI HAI
ISLAAM KI KHIDMAT KAA SILAA MAANG RAHI HAI
HAR SAAHIBE GHAIRAT SE RIDAA MAANG RAHI HAI
PARDES ME MARNE KI DUAA MAANG RAHI HAI
AFSURDAA HAI AFLAAQ SIYAAH POSH ZAMEEN HAI
JIBREEL ZARAA DEKH YE ZAINAB TO NAHI HAI

ALLAAH, ALLAAH YE KAISAA MANZAR HAI
BE PARDAA SHAAMIYON ME AULAADE PAYAMBAR HAI

NIDAA DE RAHAA HAI YE HANSKAR MANAADI
AI LOGO GHARON SE NIKAL AAWO JALDI
SAZAAEN DO INKO YE BAAGHI HAI BAAGHI
BAJTE HAIN SHADDIYAANE AUR HAATH ME PATHAR HAI

KAHAAN KHOUF KHAATAA HAI ZAALIM KISI SE
BULAATAA HAI EK EK KO WO NAAM LEKE
HAR EK BIBI CHHUPTI HAI ZAINAB KE PICHHE
KHUD KO CHHUPAAYE ZAINAB FIZZAA KE PUSHT PAR HAI

BATAATAA HAI SHIMR AAKE KHUD SHAAMIYON KO
KE KAATAA HAI MAINE ISI SE SARON KO
DIKHAATAA HAI LEHRAA KE PHIR BIBIYON KO
HAATHON ME US SHAKI KE EK KHUN BHARAA KHANJAR HAI

HUWAA HAI ASAR ITNAA BINAAIYON PAR
AJAB KASHMAKASH ME HAI ASGHAR KI MAADAR
HAR EK NEZAA BARDAAR KE PAAS JAAKAR
RORO KE PUCHHTI HAI KYAA YE MERAA ASGHAR HAI

ASIRON PE KAISI MUSIBAT BANI HAI
HAR EK BIBI BAAZAAR ME DHUNDHTI HAI
SAKINAA KAHIN BHID ME KHOGAYI HAI
MEHSHAR SE PEHLE BARPAA BAAZAAR ME MESHAR HAI

QAYAAMAT ME KAISI QAYAAMAT HAI BARPAA
TAKALLUM HAI GODI ME ASGHAR KAA LAASHAA
ADAALAT ME KHAALIQ KI AATI HAI ZAHRAA
NAZREN JUKI HAI SAB KI NABIYON KE LABONPAR HAI